Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain, Urdu Ghazal By Hatim Ali Mehr

Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hatim Ali Mehr. Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایذائیں اٹھائے ہوئے دکھ پاے ہوئے ہیں

حاتم علی مہر

ایذائیں اٹھائے ہوئے دکھ پاے ہوئے ہیں

ہم دل سے بتنگ آئے ہیں اکتائے ہوئے ہیں

بیتاب ہیں بے چین ہیں گھبرائے ہوئے ہیں

ہم دل سے بتنگ آئے ہیں اکتائے ہوئے ہیں

ان ہونٹھوں کے بوسے کا مزا پاے ہوئے ہیں

پیار آیا ہے منہ تکتے ہیں للچائے ہوئے ہیں

زلفیں وہ بلا جی کو جو الجھائے ہوئے ہیں

جوڑے کے الٹ بیچ میں دل آئے ہوئے ہیں

غصے میں بھرے بیٹھے ہیں جھلائے ہوئے ہیں

افروختہ ہیں غیروں کے بھڑکائے ہوئے ہیں

دروازے پہ بیٹھے ہیں نکلوائے ہوئے ہیں

ہم نے تو ڈھہی دی وہ غضب ڈھائے ہوئے ہیں

اٹھلائے ہوئے بیٹھے ہیں اترائے ہوئے ہیں

اب روپ ہے جوبن پہ ہیں گدرائے ہوئے ہیں

کیا بات ہے کیا بات ہے تیری لب جاں بخش

ایسی بھی ترے عہد میں دم کھائے ہوئے ہیں

مجھ پر انہیں رحم آئے یہ ممکن ہی نہیں ہے

ایسے وہ سمجھتے نہیں سمجھائے ہوئے ہیں

کرتا غضب اب تک تو ہمارا دل بیتاب

روکے ہوئے ڈانٹے ہوئے دھمکائے ہوئے ہیں

ہنگامہ رہے گا یوں ہی کوچہ میں تمہارے

عاشق کہاں جا سکتے ہیں دل آئے ہوئے ہیں

آئیں تو عنایت ہے نہیں آتے نہ آئیں

ہم دل کو تصور ہی سے بہلائے ہوئے ہیں

دل ٹھہر گیا زخم جگر بھر گئے اپنے

آرام ہی ہم تم کو جو لپٹائے ہوئے ہیں

مرنے پہ بھی افسردہ دلی اپنی عیاں ہے

تربت پہ مری پھول بھی مرجھائے ہوئے ہیں

اغیار سیہ رو سے بہت ربط ہے ان کو

وہ چاند ہیں اے مہرؔ تو گہنائے ہوئے ہیں

حاتم علی مہر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain

Hatim Ali Mehr

izaen uThae hue dukh pae hue hain
hum dil se ba-tang aae hain uktae hue hain

betab hain bechain hain ghabrae hue hain
hum dil se ba-tang aae hain uktae hue hain

un honThon ke bose ka maza pae hue hain
pyar aaya hai munh takte hain lalchae hue hain

zulfen wo bala ji ko jo uljhae hue hain
juDe ke ulaT beach mein dil aae hue hain

ghusse mein bhare baiThe hain jhallae hue hain
afroKHta hain ghairon ke bhaDkae hue hain

darwaze pe baiThe hain nikalwae hue hain
hum ne to Dhahi di wo ghazab Dhae hue hain

iThlae hue baiThe hain itrae hue hain
ab rup hai joban pe hain gadrae hue hain

kya baat hai kya baat hai teri lab-e-jaan-baKHsh
aisi bhi tere ahd mein dam khae hue hain

mujh par unhen rahm aae ye mumkin hi nahin hai
aise wo samajhte nahin samjhae hue hain

karta ghazab ab tak to hamara dil-e-betab
roke hue DanTe hue dhamkae hue hain

hangama rahega yun hi kuche mein tumhaare
aashiq kahan ja sakte hain dil aae hue hain

aaen to inayat hai nahin aate na aaen
hum dil ko tasawwur hi se bahlae hue hain

dil Thahar gaya zaKHm-e-jigar bhar gae apne
aaram hi hum tum ko jo lipTae hue hain

marne pe bhi afsurda-dili apni ayan hai
turbat pe meri phul bhi murjhae hue hain

aghyar-e-siyah-ru se bahut rabt hai un ko
wo chand hain ai 'mehr' to gahnae hue hain

(605) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain written by Hatim Ali Mehr at UrduPoint. Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain is one of the masterpieces written by Hatim Ali Mehr. You can also find the complete poetry collection of Hatim Ali Mehr by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hatim Ali Mehr' above.

Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.