Daman Ki Hawa Yaad Na Zulfon Ki GhaTa Yaad, Urdu Ghazal By Hayat Amrohvi

Daman Ki Hawa Yaad Na Zulfon Ki GhaTa Yaad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hayat Amrohvi. Daman Ki Hawa Yaad Na Zulfon Ki GhaTa Yaad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Daman Ki Hawa Yaad Na Zulfon Ki GhaTa Yaad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دامن کی ہوا یاد نہ زلفوں کی گھٹا یاد

حیات امروہوی

دامن کی ہوا یاد نہ زلفوں کی گھٹا یاد

اب کچھ بھی نہیں سوز غم دل کے سوا یاد

سرگرم سفر تھا نہ رہا کچھ بھی مجھے یاد

نقش کف پا یاد نہ منزل کا پتا یاد

تم آ گئے جب یاد تو کچھ بھی نہ رہا یاد

کب تم نے بھلایا مجھے کب تم نے کیا یاد

اب کچھ بھی نہیں ایک غم دل کے سوا یاد

پھر بھی ہے تری نیم نگاہی کی ادا یاد

وہ دور کہ اب مجھ کو ذرا بھی نہ رہا یاد

یوں عالم فرقت میں تجھے میں نے کیا یاد

مدہوش کیا جس نے مجھے سوز نوا سے

اب تک ہے وہی نغمۂ بے ساز و صدا یاد

اللہ رے یہ بے خودیٔ شوق کا عالم

کوچے میں ترے آ کے ترا گھر نہ رہا یاد

مدت ہوئی خود اپنی نوا یاد نہ آئی

احساس کو اب تک ہے مگر تیری صدا یاد

یوں صبح رلانے کے لیے کم تو نہیں تھی

کیوں شام جدائی کا سمے آ ہی گیا یاد

کچھ تجھ کو جفاؤں کے سوا یاد نہیں ہے

لیکن نہیں کچھ مجھ کو دعاؤں کے سوا یاد

ڈرتا ہوں خبر گردش دوراں کو نہ ہو جائے

اے دوست یہ کیوں آج مجھے تو نے کیا یاد

نسیاں کا حیاتؔ اس سے تعلق نہیں کچھ بھی

ان کی بھی جفا یاد ہے اپنی بھی وفا یاد

حیات امروہوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Daman Ki Hawa Yaad Na Zulfon Ki GhaTa Yaad

Hayat Amrohvi

daman ki hawa yaad na zulfon ki ghaTa yaad
ab kuchh bhi nahin soz-e-gham-e-dil ke siwa yaad

sargarm-e-safar tha na raha kuchh bhi mujhe yaad
naqsh-e-kaf-e-pa yaad na manzil ka pata yaad

tum aa gae jab yaad to kuchh bhi na raha yaad
kab tum ne bhulaya mujhe kab tum ne kiya yaad

ab kuchh bhi nahin ek gham-e-dil ke siwa yaad
phir bhi hai teri nim-nigahi ki ada yaad

wo daur ki ab mujh ko zara bhi na raha yaad
yun aalam-e-furqat mein tujhe main ne kiya yaad

madhosh kiya jis ne mujhe soz-e-nawa se
ab tak hai wahi naghma-e-be-saz-o-sada yaad

allah re ye be-KHudi-e-shauq ka aalam
kuche mein tere aa ke tera ghar na raha yaad

muddat hui KHud apni nawa yaad na aai
ehsas ko ab tak hai magar teri sada yaad

yun subh rulane ke liye kam to nahin thi
kyon sham-e-judai ka samay aa hi gaya yaad

kuchh tujh ko jafaon ke siwa yaad nahin hai
lekin nahin kuchh mujh ko duaon ke siwa yaad

Darta hun KHabar gardish-e-dauran ko na ho jae
ai dost ye kyon aaj mujhe tu ne kiya yaad

nisyan ka 'hayat' is se talluq nahin kuchh bhi
un ki bhi jafa yaad hai apni bhi wafa yaad

(836) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Daman Ki Hawa Yaad Na Zulfon Ki GhaTa Yaad written by Hayat Amrohvi at UrduPoint. Daman Ki Hawa Yaad Na Zulfon Ki GhaTa Yaad is one of the masterpieces written by Hayat Amrohvi. You can also find the complete poetry collection of Hayat Amrohvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hayat Amrohvi' above.

Daman Ki Hawa Yaad Na Zulfon Ki GhaTa Yaad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Daman Ki Hawa Yaad Na Zulfon Ki GhaTa Yaad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.