Wo Dil Jo Tha Kisi Ke Gham Ka Mahram Ho Gaya Ruswa, Urdu Ghazal By Hurmatul Ikaram

Wo Dil Jo Tha Kisi Ke Gham Ka Mahram Ho Gaya Ruswa is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hurmatul Ikaram. Wo Dil Jo Tha Kisi Ke Gham Ka Mahram Ho Gaya Ruswa comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Dil Jo Tha Kisi Ke Gham Ka Mahram Ho Gaya Ruswa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ دل جو تھا کسی کے غم کا محرم ہو گیا رسوا

حرمت الااکرام

وہ دل جو تھا کسی کے غم کا محرم ہو گیا رسوا

جہان بیش و کم میں خواب آدم ہو گیا رسوا

نہ چونکا نکہت آوارہ کی روداد پر کوئی

یہ کیوں افسانۂ‌ پرواز شبنم ہو گیا رسوا

دکھائی اہل دل کو منزل دار و رسن جس نے

تمہاری کج کلاہی کا وہ عالم ہو گیا رسوا

امانت سینۂ لالہ میں کس کی تھی نہ یہ پوچھو

کہ سعی پردہ داری میں مرا غم ہو گیا رسوا

ہے آئینے کی حیرانی بھی افسانہ در افسانہ

ترے اسرار محجوبی کا محرم ہو گیا رسوا

پسند آئی غزل کو میرؔ کی آشفتہ سامانی

ترا راز آشنا اے زلف برہم ہو گیا رسوا

خبر کیا تھی کہ آنسو پی کے بھی جینا نہیں آساں

یہ غم کم ہے گداز شیوۂ غم ہو گیا رسوا

بسانا تھا کسی حیلے سے دنیا کے خرابے کو

یہ ایسی مصلحت تھی جس پہ آدم ہو گیا رسوا

عجب طرز مداوا تھا ہمارے چارہ سازوں کا

کہ حرمتؔ ارتباط زخم و مرہم ہو گیا رسوا

حرمت الااکرام

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Dil Jo Tha Kisi Ke Gham Ka Mahram Ho Gaya Ruswa

Hurmatul Ikaram

wo dil jo tha kisi ke gham ka mahram ho gaya ruswa
jahan-e-besh-o-kam mein KHwab-e-adam ho gaya ruswa

na chaunka nikhat-e-awara ki rudad par koi
ye kyun afsana-e-parwaz-e-shabnam ho gaya ruswa

dikhai ahl-e-dil ko manzil-e-dar-o-rasan jis ne
tumhaari kaj-kulahi ka wo aalam ho gaya ruswa

amanat sina-e-lala mein kis ki thi na ye puchho
ki sai-e-parda-dari mein mera gham ho gaya ruswa

hai aaine ki hairani bhi afsana-dar-afsana
tere asrar-e-mahjubi ka mahram ho gaya ruswa

pasand aai ghazal ko 'mir' ki aashufta-samani
tera raaz-ashna ai zulf-e-barham ho gaya ruswa

KHabar kya thi ki aansu pi ke bhi jina nahin aasan
ye gham kam hai gudaz-e-shewa-e-gham ho gaya ruswa

basana tha kisi hile se duniya ke KHarabe ko
ye aisi maslahat thi jis pe aadam ho gaya ruswa

ajab tarz-e-mudawa tha hamare chaarasazon ka
ki 'hurmat' irtibaat-e-zaKHm-o-marham ho gaya ruswa

(815) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Dil Jo Tha Kisi Ke Gham Ka Mahram Ho Gaya Ruswa written by Hurmatul Ikaram at UrduPoint. Wo Dil Jo Tha Kisi Ke Gham Ka Mahram Ho Gaya Ruswa is one of the masterpieces written by Hurmatul Ikaram. You can also find the complete poetry collection of Hurmatul Ikaram by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hurmatul Ikaram' above.

Wo Dil Jo Tha Kisi Ke Gham Ka Mahram Ho Gaya Ruswa is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Dil Jo Tha Kisi Ke Gham Ka Mahram Ho Gaya Ruswa, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.