Koi An-hona Waqia Nahin Hai, Urdu Ghazal By Iftikhar Haidar

Koi An-hona Waqia Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iftikhar Haidar. Koi An-hona Waqia Nahin Hai comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Koi An-hona Waqia Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی ان ہونا واقعہ نہیں ہے

افتخار حیدر

کوئی ان ہونا واقعہ نہیں ہے

عشق میرے لیے نیا نہیں ہے

تجھ کو ہر بات کا پتہ نہیں ہے

تو مرا عشق ہے خدا نہیں ہے

یوں نشانے نہ تاک تاک کے مار

ایک ہی دل ہے دوسرا نہیں ہے

یہ جو ہم روز لفظ بنتے ہیں

مسئلہ ہے یہ مشغلہ نہیں ہے

توڑتا ہے حدود کون و مکاں

درد کا کوئی دائرہ نہیں ہے

دو کنارے ہیں ایک میں اک تو

اور کناروں میں فاصلہ نہیں ہے

کوئی اظہار کی سبیل نہیں

آگ ہی آگ ہے ہوا نہیں ہے

یہ جو تم موت سے ڈراتے ہو

زندگی سب کا مسئلہ نہیں ہے

افتخار حیدر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi An-hona Waqia Nahin Hai

Iftikhar Haidar

koi an-hona waqia nahin hai
ishq mere liye naya nahin hai

tujh ko har baat ka pata nahin hai
tu mera ishq hai KHuda nahin hai

yun nishane na tak tak ke mar
ek hi dil hai dusra nahin hai

ye jo hum roz lafz bunte hain
masala hai ye mashghala nahin hai

toDta hai hudun-e-kaun-o-makan
dard ka koi daera nahin hai

do kinare hain ek main ek tu
aur kinaron mein fasla nahin hai

koi izhaar ki sabil nahin
aag hi aag hai hawa nahin hai

ye jo tum maut se Daraate ho
zindagi sab ka masala nahin hai

(593) ووٹ وصول ہوئے

You can read Koi An-hona Waqia Nahin Hai written by Iftikhar Haidar at UrduPoint. Koi An-hona Waqia Nahin Hai is one of the masterpieces written by Iftikhar Haidar. You can also find the complete poetry collection of Iftikhar Haidar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iftikhar Haidar' above.

Koi An-hona Waqia Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi An-hona Waqia Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.