Hamari Kaif Saza-war-e-ehtisab Nahin, Urdu Ghazal By Imam Bakhsh Nasikh

Hamari Kaif Saza-war-e-ehtisab Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imam Bakhsh Nasikh. Hamari Kaif Saza-war-e-ehtisab Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hamari Kaif Saza-war-e-ehtisab Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہماری کیف سزاوار احتساب نہیں

امام بخش ناسخ

ہماری کیف سزاوار احتساب نہیں

خیال چشم ہے کچھ ساغر شراب نہیں

وہ بے نقاب ہوا ہے تو یہ تماشا ہے

دو چار ہونے کی آنکھوں میں اپنی تاب نہیں

یہ مجھ کو اس کے تغافل سے ہے یقین کہ ہائے

جواب نامے سو اے نامے کا جواب نہیں

سما رہا ہے یہاں تک پری رخوں کا جمال

ہماری آنکھوں میں خالی مقام خواب نہیں

بتوں کے پردے میں ہم دیکھتے ہیں نور خدا

خدا کے دیکھنے کی اے کلیم تاب نہیں

وفور اشک سے کیوں ہے گلے تلک پانی

ہمارا کاسۂ سر کاسۂ حباب نہیں

میں بزم شاہد و ساقی میں کیوں نہ وجد کروں

برائے زہد و ورع عالم شباب نہیں

کیا ہے داغ نے کیوں اس کو منزل خورشید

ہمارا دل ہے یہ کچھ برج آفتاب نہیں

ہوا ہے مانع دیدار یار پردۂ چشم

کھلی جو آنکھ تو کچھ درمیاں حجاب نہیں

یہ ضبط گریہ میں عالم ہے بے قراری کا

کہ برق کوندتی ہے بارش سحاب نہیں

بشر کے جسم میں ہے جان مایۂ غفلت

سو اے دیدۂ تصویر کس کو خواب نہیں

دلا ہے موسم پیری محل جام شراب

بغیر صبح کوئی وقت آفتاب نہیں

میں غش سے اس کے چھڑکتے ہی ہوشیار ہوا

کسی صنم کا پسینہ ہے یہ گلاب نہیں

بہت فریب سے ہم وحشیوں کو وحشت ہے

ہمارے دشت میں ناسخؔ کہیں سراب نہیں

امام بخش ناسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hamari Kaif Saza-war-e-ehtisab Nahin

Imam Bakhsh Nasikh

hamari kaif saza-war-e-ehtisab nahin
KHayal-e-chashm hai kuchh saghar-e-sharab nahin

wo be-naqab hua hai to ye tamasha hai
do-chaar hone ki aankhon mein apni tab nahin

ye mujh ko us ke taghaful se hai yaqin ki hae
jawab-name so ai name ka jawab nahin

sama raha hai yahan tak pari-ruKHon ka jamal
hamari aankhon mein KHali maqam-e-KHwab nahin

buton ke parde mein hum dekhte hain nur-e-KHuda
KHuda ke dekhne ki ai kalim tab nahin

wufur-e-ashk se kyon hai gale talak pani
hamara kasa-e-sar kasa-e-habab nahin

main bazm-e-shahid-o-saqi mein kyon na wajd karun
bara-e-zohd-o-wara aalam-e-shabab nahin

kiya hai dagh ne kyon us ko manzil-e-KHurshid
hamara dil hai ye kuchh burj-e-aftab nahin

hua hai man-e-didar-e-yar parda-e-chashm
khuli jo aankh to kuchh darmiyan hijab nahin

ye zabt-e-girya mein aalam hai be-qarari ka
ki barq kaundti hai barish-e-sahab nahin

bashar ke jism mein hai jaan maya-e-ghaflat
so ai dida-e-taswir kis ko KHwab nahin

dila hai mausam-e-piri mahal jam-e-sharab
baghair subh koi waqt-e-aftab nahin

main ghash se us ke chhiDakte hi hoshiyar hua
kisi sanam ka pasina hai ye gulab nahin

bahut fareb se hum wahshiyon ko wahshat hai
hamare dasht mein 'nasiKH' kahin sarab nahin

(417) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hamari Kaif Saza-war-e-ehtisab Nahin written by Imam Bakhsh Nasikh at UrduPoint. Hamari Kaif Saza-war-e-ehtisab Nahin is one of the masterpieces written by Imam Bakhsh Nasikh. You can also find the complete poetry collection of Imam Bakhsh Nasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imam Bakhsh Nasikh' above.

Hamari Kaif Saza-war-e-ehtisab Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hamari Kaif Saza-war-e-ehtisab Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.