Mujhko Furqat Ki Asiri Se Rihai Hoti, Urdu Ghazal By Imam Bakhsh Nasikh

Mujhko Furqat Ki Asiri Se Rihai Hoti is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imam Bakhsh Nasikh. Mujhko Furqat Ki Asiri Se Rihai Hoti comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mujhko Furqat Ki Asiri Se Rihai Hoti on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مجھ کو فرقت کی اسیری سے رہائی ہوتی

امام بخش ناسخ

مجھ کو فرقت کی اسیری سے رہائی ہوتی

کاش عیسیٰ کے عوض موت ہی آئی ہوتی

عاشقی میں جو مزہ ہے تو یہی فرقت ہے

لطف کیا تھا جو اگر اس سے جدائی ہوتی

گر نہ ہو شمع تو معدوم ہیں پروانے بھی

تو نہ ہوتا تو صنم کب یہ خدائی ہوتی

غیر سے کرتے ہو ابرو کے اشارے ہر دم

کبھی تلوار تو مجھ پر بھی لگائی ہوتی

اس کی ہر دم کی نصیحت سے میں تنگ آیا ہوں

کاش ناصح سے بھی آنکھ اس نے لڑائی ہوتی

ہوں وہ غم دوست کہ سب اپنے ہی دل میں بھرتا

غم عالم کی اگر اس میں سمائی ہوتی

خط کے آغاز میں تو مجھ سے ہوا صاف تو کب

لطف تب تھا کہ صفائی میں صفائی ہوتی

ابر رحمت سے تو محروم رہی کشت مری

کوئی بجلی ہی فلک تو نے گرائی ہوتی

دشت پر خار میں مہندی کی ہوس بھی نکلی

کب ہماری کف پا ورنہ حنائی ہوتی

دھوئی کیوں اشک کے طوفان سے لوح محفوظ

سرنوشت اپنی ہی ناسخؔ نے مٹائی ہوتی

امام بخش ناسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mujhko Furqat Ki Asiri Se Rihai Hoti

Imam Bakhsh Nasikh

mujh ko furqat ki asiri se rihai hoti
kash isa ke ewaz maut hi aai hoti

aashiqi mein jo maza hai to yahi furqat hai
lutf kya tha jo agar us se judai hoti

gar na ho shama to madum hain parwane bhi
tu na hota to sanam kab ye KHudai hoti

ghair se karte ho abru ke ishaare har dam
kabhi talwar to mujh par bhi lagai hoti

us ki har dam ki nasihat se main tang aaya hun
kash naseh se bhi aankh us ne laDai hoti

hun wo gham-dost ki sab apne hi dil mein bharta
gham-e-alam ki agar is mein samai hoti

KHat ke aaghaz mein to mujh se hua saf tu kab
lutf tab tha ki safai mein safai hoti

abr-e-rahmat se to mahrum rahi kisht meri
koi bijli hi falak tu ne girai hoti

dasht-e-pur-KHar mein mehndi ki hawas bhi nikli
kab hamari kaf-e-pa warna hinai hoti

dhoi kyun ashk ke tufan se lauh-e-mahfuz
sar-nawisht apni hi 'nasiKH' ne miTai hoti

(509) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mujhko Furqat Ki Asiri Se Rihai Hoti written by Imam Bakhsh Nasikh at UrduPoint. Mujhko Furqat Ki Asiri Se Rihai Hoti is one of the masterpieces written by Imam Bakhsh Nasikh. You can also find the complete poetry collection of Imam Bakhsh Nasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imam Bakhsh Nasikh' above.

Mujhko Furqat Ki Asiri Se Rihai Hoti is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mujhko Furqat Ki Asiri Se Rihai Hoti, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.