Sab Ki Sab Kya Hain Shab-e-qadr Hamari Raaten, Urdu Ghazal By Imam Bakhsh Nasikh

Sab Ki Sab Kya Hain Shab-e-qadr Hamari Raaten is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imam Bakhsh Nasikh. Sab Ki Sab Kya Hain Shab-e-qadr Hamari Raaten comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sab Ki Sab Kya Hain Shab-e-qadr Hamari Raaten on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سب کی سب کیا ہیں شب قدر ہماری راتیں

امام بخش ناسخ

سب کی سب کیا ہیں شب قدر ہماری راتیں

کٹتی ہیں آنکھوں ہی میں ہجر کی ساری راتیں

ہائے کیا پیار سے سوتے تھے لپٹ کر اے جان

یاد ہر دم مجھے آتی ہیں وہ پیاری راتیں

دونوں زلفوں میں ہیں خورشید سے تاباں عارض

روز روشن کے برابر ہیں تمہاری راتیں

جو گھڑی ہے نظر آتی ہے مجھے ایک پہاڑ

ہیں غضب فرقت محبوب کی بھاری راتیں

ہجر میں صبح سے تا شام بجائے شبنم

میری آنکھوں سے لہو رکھتی ہیں جاری راتیں

سن پڑے رہتے ہیں بے یار اندھیرے میں ہم

ہیں شب گور کے مانند ہماری راتیں

شب تاریک جدائی میں یہ چلاتا ہوں

دق بہت کرتی ہیں یا حضرت باری راتیں

تیری زلفوں کے لیے شانہ بکف ہے ہر دن

اور کرتی ہیں تری آئینہ داری راتیں

فصل گل میں وہ گل تر نہیں گل کر دے چراغ

کہ سیہ چاہئیں اے باد بہاری راتیں

مرغ زرین فلک پر ہے یقین خفاش

کس قدر میرے دنوں میں ہوئیں ساری راتیں

دن کے بدلے بھی یہی آتی ہیں غم خواری کو

مجھ سے رکھتی ہیں بہت ہجر میں یاری راتیں

دن تو ناسخؔ کے بہ ہر حال گزر جاتے ہیں

پر جدائی میں بہت لاتی ہیں خواری باتیں

امام بخش ناسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sab Ki Sab Kya Hain Shab-e-qadr Hamari Raaten

Imam Bakhsh Nasikh

sab ki sab kya hain shab-e-qadr hamari raaten
kaTti hain aankhon hi mein hijr ki sari raaten

hae kya pyar se sote the lipaT kar ai jaan
yaad har dam mujhe aati hain wo pyari raaten

donon zulfon mein hain KHurshed se taban aariz
roz-e-raushan ke barabar hain tumhaari raaten

jo ghaDi hai nazar aati hai mujhe ek pahaD
hain ghazab furqat-e-mahbub ki bhaari raaten

hijr mein subh se ta-sham bajae shabnam
meri aankhon se lahu rakhti hain jari raaten

sun paDe rahte hain be-yar andhere mein hum
hain shab-e-gor ke manind hamari raaten

shab-e-tarik judai mein ye chillata hun
diq bahut karti hain ya-hazrat-e-bari raaten

teri zulfon ke liye shana-ba-kaf hai har din
aur karti hain teri aaina-dari raaten

fasl-e-gul mein wo gul-e-tar nahin gul kar de charagh
ki siyah chahiyen ai baad-e-bahaari raaten

murgh-e-zarrin-e-falak par hai yaqin-e-KHuffash
kis qadar mere dinon mein huin sari raaten

din ke badle bhi yahi aati hain gham-KHwari ko
mujh se rakhti hain bahut hijr mein yari raaten

din to 'nasiKH' ke ba-har-haal guzar jate hain
par judai mein bahut lati hain KHwari baaten

(500) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sab Ki Sab Kya Hain Shab-e-qadr Hamari Raaten written by Imam Bakhsh Nasikh at UrduPoint. Sab Ki Sab Kya Hain Shab-e-qadr Hamari Raaten is one of the masterpieces written by Imam Bakhsh Nasikh. You can also find the complete poetry collection of Imam Bakhsh Nasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imam Bakhsh Nasikh' above.

Sab Ki Sab Kya Hain Shab-e-qadr Hamari Raaten is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sab Ki Sab Kya Hain Shab-e-qadr Hamari Raaten, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.