Mujhko Ab Saqi-e-gulfam Se Kuchh Kaam Nahin, Urdu Ghazal By Imam Bakhsh Nasikh

Mujhko Ab Saqi-e-gulfam Se Kuchh Kaam Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imam Bakhsh Nasikh. Mujhko Ab Saqi-e-gulfam Se Kuchh Kaam Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mujhko Ab Saqi-e-gulfam Se Kuchh Kaam Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مجھ کو اب ساقیٔ گلفام سے کچھ کام نہیں

امام بخش ناسخ

مجھ کو اب ساقیٔ گلفام سے کچھ کام نہیں

مے سے کچھ کام نہیں جام سے کچھ کام نہیں

دل میں خوش آئی ہیں صحرا کی ببولیں پر خار

اب کسی سرو گل اندام سے کچھ کام نہیں

اپنے آرام سے ہوں دشت جنوں میں تنہا

کسی محبوب دل آرام سے کچھ کام نہیں

خانہ برباد ہوں صحرا میں بگولوں کی طرح

سقف و دیوار و در و بام سے کچھ کام نہیں

طائر روح رمیدہ کی طرح چھوٹا ہوں

اب تو صیاد ترے دام سے کچھ کام نہیں

طبع روشن کو نہیں خوف سیہ روزی کا

صبح محشر ہوں مجھے شام سے کچھ کام نہیں

اتنی مدت سے ہوں غربت میں وطن بھول گیا

مجھ کو اب نامہ و پیغام سے کچھ کام نہیں

ہے فراق بت خود کام میں ناسخؔ کا کلام

ہوں میں ناکام مجھے کام سے کچھ کام نہیں

امام بخش ناسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mujhko Ab Saqi-e-gulfam Se Kuchh Kaam Nahin

Imam Bakhsh Nasikh

mujh ko ab saqi-e-gulfam se kuchh kaam nahin
mai se kuchh kaam nahin jam se kuchh kaam nahin

dil mein KHush aai hain sahra ki babulen pur-KHar
ab kisi sarw-e-gul-andam se kuchh kaam nahin

apne aaram se hun dasht-e-junun mein tanha
kisi mahbub-e-dil-aram se kuchh kaam nahin

KHana-barbaad hun sahra mein bagulon ki tarah
saqf-o-diwar-o-dar-o-baam se kuchh kaam nahin

tair-e-ruh-e-ramida ki tarah chhuTa hun
ab to sayyaad tere dam se kuchh kaam nahin

tab-e-raushan ko nahin KHauf siyah-rozi ka
subh-e-mahshar hun mujhe sham se kuchh kaam nahin

itni muddat se hun ghurbat mein watan bhul gaya
mujh ko ab nama-o-paigham se kuchh kaam nahin

hai firaq-e-but-e-KHud-kaam mein 'nasiKH' ka kalam
hun main nakaam mujhe kaam se kuchh kaam nahin

(510) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mujhko Ab Saqi-e-gulfam Se Kuchh Kaam Nahin written by Imam Bakhsh Nasikh at UrduPoint. Mujhko Ab Saqi-e-gulfam Se Kuchh Kaam Nahin is one of the masterpieces written by Imam Bakhsh Nasikh. You can also find the complete poetry collection of Imam Bakhsh Nasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imam Bakhsh Nasikh' above.

Mujhko Ab Saqi-e-gulfam Se Kuchh Kaam Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mujhko Ab Saqi-e-gulfam Se Kuchh Kaam Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.