Tuk Ek Ai Nasim Sambhaal Le Ki Bahaar Mast-e-sharab Hai, Urdu Ghazal By Insha Allah Khan Insha

Tuk Ek Ai Nasim Sambhaal Le Ki Bahaar Mast-e-sharab Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Insha Allah Khan Insha. Tuk Ek Ai Nasim Sambhaal Le Ki Bahaar Mast-e-sharab Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tuk Ek Ai Nasim Sambhaal Le Ki Bahaar Mast-e-sharab Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ٹک اک اے نسیم سنبھال لے کہ بہار مست شراب ہے

انشا اللہ خاں انشا

ٹک اک اے نسیم سنبھال لے کہ بہار مست شراب ہے

وہ جو حسن عالم نشہ ہے اسے اب کی عین شباب ہے

وہ گھٹائیں چھائیں جو کالیاں جو ہری بھری ہوئیں ڈالیاں

ابھر آئیں پھولوں کی لالیاں تو بجائے آب شہاب ہے

یہ دو روزہ نشو و نما کو تو نہ سمجھ کہ نقش پر آب سے

یہ سراب ہے یہ حباب ہے فقط ایک قصۂ خواب ہے

عرق بہار شراب ہے وہ ہی آج چھڑکیں گے آپ پر

نہ تو بید مشک ہے اس گھڑی نہ تو کیوڑا نہ گلاب ہے

انہیں کہنے سننے سے بیر ہے جو خود آئیں سو تو بخیر ہے

یہ غرض کہ زور ہی سیر ہے نہ سوال ہے نہ جواب ہے

کدھر آؤں جاؤں کروں سو کیا مرا جی ہی ناک میں آ گیا

نہ تو عرض حال کی تاب ہے نہ تو صبر خانہ خراب ہے

مجھے وحش و طیر سے رشک ہے کہ کبھی انہوں کو کسی نمط

نہ سوال ہے نہ جواب ہے نہ عذاب ہے نہ عقاب ہے

مری بات مان سنا دلا نہ تو عرض و فرض پہ جی چلا

کوئی ان کو ٹوکے سو کیا بھلا کہ وہ عالی ان کی جناب ہے

ارے انشاؔ اب جو یہ دور ہے تری وضع ان دنوں اور ہے

یہ بھی کوئی زیست کا طور ہے نہ شراب ہے نہ کباب ہے

انشا اللہ خاں انشا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tuk Ek Ai Nasim Sambhaal Le Ki Bahaar Mast-e-sharab Hai

Insha Allah Khan Insha

Tuk ek ai nasim sambhaal le ki bahaar mast-e-sharab hai
wo jo husn-e-alam-e-nashsha hai use ab ki ain-shabab hai

wo ghaTaen chhain jo kaliyan jo hari-bhari huin Daliyan
ubhar aain phulon ki laliyan to bajae aab-e-shahab hai

ye do-roza nashw-o-numa ko tu na samajh ki naqsh-e-pur-ab se
ye sarab hai ye habab hai faqat ek qissa-e-KHwab hai

araq-e-bahaar-e-sharab hai wo hi aaj chhiDkenge aap par
na to bed-e-mushk hai is ghaDi na to kewDa na gulab hai

unhen kahne sunne se bair hai jo KHud aaen so to ba-KHair hai
ye gharaz ki zor hi sair hai na sawal hai na jawab hai

kidhar aaun jaun karun so kya mera ji hi nak mein aa gaya
na to arz-e-haal ki tab hai na to sabr-e-KHana-KHarab hai

mujhe wahsh-o-tair se rashk hai ki kabhi unhon ko kisi namat
na sawal hai na jawab hai na azab hai na iqab hai

meri baat man suna dila na to arz o farz pe ji chala
koi un ko Toke so kya bhala ki wo aali un ki janab hai

are 'insha' ab jo ye daur hai teri waza in dinon aur hai
ye bhi koi zist ka taur hai na sharab hai na kabab hai

(447) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tuk Ek Ai Nasim Sambhaal Le Ki Bahaar Mast-e-sharab Hai written by Insha Allah Khan Insha at UrduPoint. Tuk Ek Ai Nasim Sambhaal Le Ki Bahaar Mast-e-sharab Hai is one of the masterpieces written by Insha Allah Khan Insha. You can also find the complete poetry collection of Insha Allah Khan Insha by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Insha Allah Khan Insha' above.

Tuk Ek Ai Nasim Sambhaal Le Ki Bahaar Mast-e-sharab Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tuk Ek Ai Nasim Sambhaal Le Ki Bahaar Mast-e-sharab Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.