Har GhaDi Ka Sath Dukh Deta Hai Jaan-e-man Mujhe, Urdu Ghazal By Iqbal Sajid

Har GhaDi Ka Sath Dukh Deta Hai Jaan-e-man Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iqbal Sajid. Har GhaDi Ka Sath Dukh Deta Hai Jaan-e-man Mujhe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har GhaDi Ka Sath Dukh Deta Hai Jaan-e-man Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر گھڑی کا ساتھ دکھ دیتا ہے جان من مجھے

اقبال ساجد

ہر گھڑی کا ساتھ دکھ دیتا ہے جان من مجھے

ہر کوئی کہنے لگا تنہائی کا دشمن مجھے

دن کو کرنیں رات کو جگنو پکڑنے کا ہے شوق

جانے کس منزل میں لے جائے گا پاگل پن مجھے

سادہ کاغذ رکھ کے آیا ہوں نمائش گاہ میں

دیکھ کر ہوتی تھی ہر تصویر کو الجھن مجھے

ناچتا تھا پاؤں میں لمحوں کے گھنگرو باندھ کر

دے گیا دھوکا سمٹ کر وقت کا آنگن مجھے

نیکیوں کے پھل نہیں لگتے بدی کے پیڑ پر

اس نے واپس کر دیا ہے پھر تہی دامن مجھے

دوستو سن لی خدا نے کل مری پہلی دعا

شرم سے آخر جھکانی پڑ گئی گردن مجھے

کیا ملا تجھ کو بتا اندھے سے لاٹھی چھین کر

کر دیا کیوں آس سے محروم جان من مجھے

سرد ہو سکتی نہیں ساجدؔ کبھی سینے کی آگ

دل جلانے کو ملا ہے یاد کا ایندھن مجھے

اقبال ساجد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har GhaDi Ka Sath Dukh Deta Hai Jaan-e-man Mujhe

Iqbal Sajid

har ghaDi ka sath dukh deta hai jaan-e-man mujhe
har koi kahne laga tanhai ka dushman mujhe

din ko kirnen raat ko jugnu pakaDne ka hai shauq
jaane kis manzil mein le jaega pagal-pan mujhe

sada kaghaz rakh ke aaya hun numaish-gah mein
dekh kar hoti thi har taswir ko uljhan mujhe

nachta tha panw mein lamhon ke ghungru bandh kar
de gaya dhoka simaT kar waqt ka aangan mujhe

nekiyon ke phal nahin lagte badi ke peD par
us ne wapas kar diya hai phir tahi-daman mujhe

dosto sun li KHuda ne kal meri pahli dua
sharm se aaKHir jhukani paD gai gardan mujhe

kya mila tujh ko bata andhe se laThi chhin kar
kar diya kyun aas se mahrum jaan-e-man mujhe

sard ho sakti nahin 'sajid' kabhi sine ki aag
dil jalane ko mila hai yaad ka indhan mujhe

(464) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har GhaDi Ka Sath Dukh Deta Hai Jaan-e-man Mujhe written by Iqbal Sajid at UrduPoint. Har GhaDi Ka Sath Dukh Deta Hai Jaan-e-man Mujhe is one of the masterpieces written by Iqbal Sajid. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Sajid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Sajid' above.

Har GhaDi Ka Sath Dukh Deta Hai Jaan-e-man Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har GhaDi Ka Sath Dukh Deta Hai Jaan-e-man Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.