Har Kasi Ko Kab Bhala Yun Mustarad Karta Hun Main, Urdu Ghazal By Iqbal Sajid

Har Kasi Ko Kab Bhala Yun Mustarad Karta Hun Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iqbal Sajid. Har Kasi Ko Kab Bhala Yun Mustarad Karta Hun Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Kasi Ko Kab Bhala Yun Mustarad Karta Hun Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر کسی کو کب بھلا یوں مسترد کرتا ہوں میں

اقبال ساجد

ہر کسی کو کب بھلا یوں مسترد کرتا ہوں میں

تو ہے خوش قسمت اگر تجھ سے حسد کرتا ہوں میں

بغض بھی سینے میں رکھتا ہوں امانت کی طرح

نفرتیں کرنے پہ آ جاؤں تو حد کرتا ہوں میں

کوئی اپنے آپ کو منوانے والا بھی تو ہو

ماننے میں کب کسی کے رد و کد کرتا ہوں میں

کچھ شعوری سطح پر کچھ لا شعوری طور پر

کار فکر و فن میں اب سب کی مدد کرتا ہوں میں

اس لیے مجھ سے خفا ہیں اہل گلشن آج کل

رنگ جھٹلاتا ہوں خوشبو مسترد کرتا ہوں میں

میرے جذبوں سے بچاؤ نیک دل لوگو مجھے

روز او شب ان بد معاشوں کی مدد کرتا ہوں میں

دوسروں کے واسطے لکھا ہوا لگتا ہے جھوٹ

اپنی سچائی کو اکثر آپ رد کرتا ہوں میں

رنگ پر آئی ہوئی ہے اب جنوں خیزی میری

روز و شب توہین ارباب خرد کرتا ہوں میں

طوق گردن میں پہنتا ہوں لہو کی دھار کا

خلق کو حیران ساجدؔ زد بہ زد کرتا ہوں میں

اقبال ساجد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Kasi Ko Kab Bhala Yun Mustarad Karta Hun Main

Iqbal Sajid

har kasi ko kab bhala yun mustarad karta hun main
tu hai KHush-qismat agar tujh se hasad karta hun main

bughz bhi sine mein rakhta hun amanat ki tarah
nafraten karne pe aa jaun to had karta hun main

koi apne-ap ko manwane wala bhi to ho
manne mein kab kasi ke radd-o-kad karta hun main

kuchh shuuri sath par kuchh la-shuuri taur par
kar-e-fikr-o-fan mein ab sab ki madad karta hun main

is liye mujh se KHafa hain ahl-e-gulshan aaj-kal
rang jhuTlata hun KHushbu mustarad karta hun main

mere jazbon se bachao nek-dil logo mujhe
roz o shab in bad-maashon ki madad karta hun main

dusron ke waste likkha hua lagta hai jhuT
apni sachchai ko akasr aap rad karta hun main

rang par aai hui hai ab junun-KHezi meri
roz o shab tauhin-e-arbab-e-KHirad karta hun main

tauq gardan mein pahanta hun lahu ki dhaar ka
KHalq ko hairan 'sajid' zad-ba-zad karta hun main

(571) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Kasi Ko Kab Bhala Yun Mustarad Karta Hun Main written by Iqbal Sajid at UrduPoint. Har Kasi Ko Kab Bhala Yun Mustarad Karta Hun Main is one of the masterpieces written by Iqbal Sajid. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Sajid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Sajid' above.

Har Kasi Ko Kab Bhala Yun Mustarad Karta Hun Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Kasi Ko Kab Bhala Yun Mustarad Karta Hun Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.