Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-o-bayaban ChhoD Kar, Urdu Ghazal By Iqbal Sajid

Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-o-bayaban ChhoD Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iqbal Sajid. Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-o-bayaban ChhoD Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-o-bayaban ChhoD Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جانے کیوں گھر میں مرے دشت و بیاباں چھوڑ کر

اقبال ساجد

جانے کیوں گھر میں مرے دشت و بیاباں چھوڑ کر

بیٹھتی ہیں بے سر و سامانیاں سر جوڑ کر

کتنی نظریں کتنی آسیں کتنی آوازیں یہاں

لوٹ جاتی ہیں در و دیوار سے سر پھوڑ کر

جانے کس کی کھوج میں پیہم بگولے آج کل

پھر رہے ہیں شہر کی گلیوں میں صحرا چھوڑ کر

مجھ پہ پتھر پھینکنے والوں کو تیرے شہر میں

نرم و نازک ہاتھ بھی دیتے ہیں پتھر توڑ کر

بس رہا ہوں آج اس ماحول میں ساجدؔ جہاں

لوگ باراتوں میں جاتے ہیں جنازے چھوڑ کر

اقبال ساجد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-o-bayaban ChhoD Kar

Iqbal Sajid

jaane kyun ghar mein mere dasht-o-bayaban chhoD kar
baiThti hain be-sar-o-samaniyan sar joD kar

kitni nazren kitni aasen kitni aawazen yahan
lauT jati hain dar-o-diwar se sar phoD kar

jaane kis ki khoj mein paiham bagule aaj kal
phir rahe hain shahr ki galiyon mein sahra chhoD kar

mujh pe patthar phenkne walon ko tere shahr mein
narm-o-nazuk hath bhi dete hain patthar toD kar

bas raha hun aaj us mahaul mein 'sajid' jahan
log baraaton mein jate hain janaze chhoD kar

(475) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-o-bayaban ChhoD Kar written by Iqbal Sajid at UrduPoint. Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-o-bayaban ChhoD Kar is one of the masterpieces written by Iqbal Sajid. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Sajid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Sajid' above.

Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-o-bayaban ChhoD Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-o-bayaban ChhoD Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.