Sang-dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin, Urdu Ghazal By Iqbal Sajid

Sang-dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iqbal Sajid. Sang-dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Sang-dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سنگ دل ہوں اس قدر آنکھیں بھگو سکتا نہیں

اقبال ساجد

سنگ دل ہوں اس قدر آنکھیں بھگو سکتا نہیں

میں کہ پتھریلی زمیں میں پھول بو سکتا نہیں

لگ چکے ہیں دامنوں پر جتنے رسوائی کے داغ

ان کو آنسو کیا سمندر تک بھی دھو سکتا نہیں

ایک دو دکھ ہوں تو پھر ان سے کروں جی بھر کے پیار

سب کو سینے سے لگا لوں یہ تو ہو سکتا نہیں

تیری بربادی پہ اب آنسو بہاؤں کس لیے

میں تو خود اپنی تباہی پر بھی رو سکتا نہیں

جس نے سمجھا ہو ہمیشہ دوستی کو کاروبار

دوستو وہ تو کسی کا دوست ہو سکتا نہیں

خواہشوں کی نذر کر دوں کس لیے انمول اشک

کچے دھاگوں میں کوئی موتی پرو سکتا نہیں

میں ترے در کا بھکاری تو مرے در کا فقیر

آدمی اس دور میں خوددار ہو سکتا نہیں

مجھ کو اتنا بھی نہیں ہے سرخ رو ہونے کا شوق

بے سبب تازہ لہو کی فصل بو سکتا نہیں

یاد کے شعلوں پہ جلتا ہے اگر میرا بدن

اوڑھ کر پھولوں کی چادر تو بھی سو سکتا نہیں

ہاتھ جس سے کچھ نہ آئے اس کی خواہش کیوں کروں

دودھ کی مانند میں پانی بلو سکتا نہیں

اقبال ساجد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sang-dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin

Iqbal Sajid

sang-dil hun is qadar aankhen bhigo sakta nahin
main ki pathrili zamin mein phul bo sakta nahin

lag chuke hain damanon par jitne ruswai ke dagh
in ko aansu kya samundar tak bhi dho sakta nahin

ek do dukh hon to phir un se karun ji-bhar ke pyar
sab ko sine se laga lun ye to ho sakta nahin

teri barbaadi pe ab aansu bahaun kis liye
main to KHud apni tabahi par bhi ro sakta nahin

jis ne samjha ho hamesha dosti ko karobar
dosto wo to kisi ka dost ho sakta nahin

KHwahishon ki nazr kar dun kis liye anmol ashk
kachche dhagon mein koi moti piro sakta nahin

main tere dar ka bhikari tu mere dar ka faqir
aadmi is daur mein KHuddar ho sakta nahin

mujh ko itna bhi nahin hai surKH-ru hone ka shauq
be-sabab taza lahu ki fasl bo sakta nahin

yaad ke shoalon pe jalta hai agar mera badan
oDh kar phulon ki chadar tu bhi so sakta nahin

hath jis se kuchh na aae us ki KHwahish kyun karun
dudh ki manind main pani bilo sakta nahin

(697) ووٹ وصول ہوئے

You can read Sang-dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin written by Iqbal Sajid at UrduPoint. Sang-dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin is one of the masterpieces written by Iqbal Sajid. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Sajid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Sajid' above.

Sang-dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sang-dil Hun Is Qadar Aankhen Bhigo Sakta Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.