Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida, Urdu Ghazal By Iqbal Sohail

Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iqbal Sohail. Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اسیروں میں بھی ہو جائیں جو کچھ آشفتہ سر پیدا

اقبال سہیل

اسیروں میں بھی ہو جائیں جو کچھ آشفتہ سر پیدا

ابھی دیوار زنداں میں ہوا جاتا ہے در پیدا

کیے ہیں چاک دل سے بوئے گل نے بال و پر پیدا

ہوس ہے زندگانی کی تو ذوق مرگ کر پیدا

یہ مشت خاک اگر کر لے پر و بال نظر پیدا

تو اوج لامکاں تک ہوں ہزاروں رہ گزر پیدا

جمال دوست پنہاں پردۂ شمس و قمر پیدا

یہی پردے تو کرتے ہیں تقاضائے نظر پیدا

محبت تیرے صدقے تو نے کر دی وہ نظر پیدا

جدھر آنکھیں اٹھیں ہوتا ہے حسن جلوہ گر پیدا

شب غم اب منائے خیر اپنے جیب و دامن کی

رہے دست جنوں باقی تو کر لیں گے سحر پیدا

مذاق سر بلندی ہو تو پھر دیر و حرم کیسے

جبیں سائی کی فطرت نے کیے ہیں سنگ در پیدا

نثار اس لن ترانی کے یہ کیا کم ہے شرف اس کا

دل خوددار نے کر لی نگاہ خود نگر پیدا

جوانو یہ صدائیں آ رہی ہیں آبشاروں سے

چٹانیں چور ہو جائیں جو ہو عزم سفر پیدا

وہ شبنم کا سکوں ہو یا کہ پروانے کی بیتابی

اگر اڑنے کی دھن ہوگی تو ہوں گے بال و پر پیدا

سہیلؔ اب پوچھنا ہے انقلاب آسمانی سے

ہماری شام غم کی بھی کبھی ہوگی سحر پیدا

اقبال سہیل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida

Iqbal Sohail

asiron mein bhi ho jaen jo kuchh aashufta-sar paida
abhi diwar-e-zindan mein hua jata hai dar paida

kiye hain chaak-e-dil se bu-e-gul ne baal-o-par paida
hawas hai zindagani ki to zauq-e-marg kar paida

ye musht-e-KHak agar kar le par-o-baal-e-nazar paida
to auj-e-la-makan tak hon hazaron rahguzar paida

jamal-e-dost pinhan parda-e-shams-o-qamar paida
yahi parde to karte hain taqaza-e-nazar paida

mohabbat tere sadqe tu ne kar di wo nazar paida
jidhar aankhen uThin hota hai husn-e-jalwagar paida

shab-e-gham ab manae KHair apne jeb o daman ki
rahe dast-e-junun baqi to kar lenge sahar paida

mazaq-e-sar-bulandi ho to phir dair o haram kaise
jabin-sai ki fitrat ne kiye hain sang-e-dar paida

nisar is lan-tarani ke ye kya kam hai sharaf us ka
dil-e-KHuddar ne kar li nigah-e-KHud-nigar paida

jawano ye sadaen aa rahi hain aabshaaron se
chaTanen chur ho jaen jo ho azm-e-safar paida

wo shabnam ka sukun ho ya ki parwane ki betabi
agar uDne ki dhun hogi to honge baal-o-par paida

'suhail' ab puchhna hai inqilab-e-asmani se
hamari sham-e-gham ki bhi kabhi hogi sahar paida

(561) ووٹ وصول ہوئے

You can read Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida written by Iqbal Sohail at UrduPoint. Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida is one of the masterpieces written by Iqbal Sohail. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Sohail by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Sohail' above.

Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida is a widely read Urdu Ghazal. If you like Asiron Mein Bhi Ho Jaen Jo Kuchh Aashufta-sar Paida, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.