KHwahishon Ki Kitab The Jab The, Urdu Ghazal By Iqbal Tariq

KHwahishon Ki Kitab The Jab The is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iqbal Tariq. KHwahishon Ki Kitab The Jab The comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHwahishon Ki Kitab The Jab The on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خواہشوں کی کتاب تھے جب تھے

اقبال طارق

خواہشوں کی کتاب تھے جب تھے

زندگی کا نصاب تھے جب تھے

اپنی انگلی پکڑ کے چلتے تھے

خود کو ہم دستیاب تھے جب تھے

طاق ماضی کے یہ اداس دیے

شوق میں آفتاب تھے جب تھے

اپنی آنکھوں میں اب کھٹکتے ہیں

چشم یاراں کا خواب تھے جب تھے

اب میسر کہاں ہیں خود کو بھی

ہاں ترے بے حساب تھے جب تھے

یہ جو آنکھیں بجھی بجھی ہیں ناں

ان میں بھی چند خواب تھے جب تھے

اب جو سوکھے پڑے ہیں قبروں پر

یہ بھی تازہ گلاب تھے جب تھے

اقبال طارق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHwahishon Ki Kitab The Jab The

Iqbal Tariq

KHwahishon ki kitab the jab the
zindagi ka nisab the jab the

apni ungli pakaD ke chalte the
KHud ko hum dastiyab the jab the

taq-e-mazi ke ye udas diye
shauq mein aaftab the jab the

apni aankhon mein ab khaTakte hain
chashm-e-yaran ka KHwab the jab the

ab mayassar kahan hain KHud ko bhi
han tere be-hisab the jab the

ye jo aankhen bujhi bujhi hain nan
in mein bhi chand KHwab the jab the

ab jo sukhe paDe hain qabron par
ye bhi taza gulab the jab the

(552) ووٹ وصول ہوئے

You can read KHwahishon Ki Kitab The Jab The written by Iqbal Tariq at UrduPoint. KHwahishon Ki Kitab The Jab The is one of the masterpieces written by Iqbal Tariq. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Tariq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Tariq' above.

KHwahishon Ki Kitab The Jab The is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHwahishon Ki Kitab The Jab The, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.