AaKHir Ye Husn Chhup Na Sakega Naqab Mein, Urdu Ghazal By Ismail Merathi

AaKHir Ye Husn Chhup Na Sakega Naqab Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ismail Merathi. AaKHir Ye Husn Chhup Na Sakega Naqab Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read AaKHir Ye Husn Chhup Na Sakega Naqab Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آخر یہ حسن چھپ نہ سکے گا نقاب میں

اسماعیل میرٹھی

آخر یہ حسن چھپ نہ سکے گا نقاب میں

شرماؤ گے تمہیں نہ کرو ضد حجاب میں

پامال شوخیوں میں کرو تم زمین کو

ڈالوں فلک پے زلزلہ میں اضطراب میں

روشن ہے آفتاب کی نسبت چراغ سے

نسبت وہی ہے آپ میں اور آفتاب میں

دل کی گرہ نہ وا ہوئی درد شب وصال

گزری تمام بست و کشاد نقاب میں

جاں میں نے نامہ بر کے قدم پر نثار کی

تھا پیش پا فتادہ یہ مضموں جواب میں

ہنس ہنس کے برق کو تو ذرا کیجے بے قرار

رو رو کے ابر کو میں ڈبوتا ہوں آب میں

واعظ سے ڈر گئے کہ نہ شامل ہوئے ہم آج

ترتیب محفل مے و چنگ و رباب میں

ساقی ادھر تو دیکھ کہ ہم دیر‌ مست ہیں

کچھ مستی‌ٔ نگہ بھی ملا دے شراب میں

داخل نہ دشمنوں میں نہ احباب میں شمار

مد فضول ہوں میں تمہارے حساب میں

کس کس کے جور اٹھائیں گے آگے کو دیکھیے

دشمن ہے چرخ پیر زمان شباب میں

پیغامبر اشارۂ ابرو سے مر گیا

پھر جی اٹھے گا لب بھی ہلا دو جواب میں

اسماعیل میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

AaKHir Ye Husn Chhup Na Sakega Naqab Mein

Ismail Merathi

aaKHir ye husn chhup na sakega naqab mein
sharmaoge tumhin na karo zid hijab mein

pamal shoKHiyon mein karo tum zamin ko
Dalun falak pe zalzale mein iztirab mein

raushan hai aaftab ki nisbat charagh se
nisbat wahi hai aap mein aur aaftab mein

dil ki girah na wa hui dard-e-shab-e-visal
guzri tamam bast-o-kushad-e-naqab mein

jaan main ne nama-bar ke qadam par nisar ki
tha pesh-e-pa fatada ye mazmun jawab mein

hans hans ke barq ko to zara kije be-qarar
ro ro ke abr ko main Dubota hun aab mein

waiz se Dar gae ki na shamil hue hum aaj
tartib-e-mahfil-e-mai-o-chag-o-rabab mein

saqi idhar to dekh ki hum dair-e-mast hain
kuchh masti-e-nigah bhi mila de sharab mein

daKHil na dushmanon mein na ahbab mein shumar
madd-e-fuzul hun main tumhaare hisab mein

kis kis ke jaur uThaenge aage ko dekhiye
dushman hai charKH-e-pir zaman-e-shabab mein

paighambar ishaara-e-abru se mar gaya
phir ji uThega lab bhi hila do jawab mein

(539) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read AaKHir Ye Husn Chhup Na Sakega Naqab Mein written by Ismail Merathi at UrduPoint. AaKHir Ye Husn Chhup Na Sakega Naqab Mein is one of the masterpieces written by Ismail Merathi. You can also find the complete poetry collection of Ismail Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ismail Merathi' above.

AaKHir Ye Husn Chhup Na Sakega Naqab Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like AaKHir Ye Husn Chhup Na Sakega Naqab Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.