Koi Habib Koi Mehrban To Hai Hi Nahin, Urdu Ghazal By Jagjit Kafir

Koi Habib Koi Mehrban To Hai Hi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jagjit Kafir. Koi Habib Koi Mehrban To Hai Hi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Koi Habib Koi Mehrban To Hai Hi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی حبیب کوئی مہرباں تو ہے ہی نہیں

جگجیت کافر

کوئی حبیب کوئی مہرباں تو ہے ہی نہیں

ہمارے سر پے کوئی آسماں تو ہے ہی نہیں

جو ایک عکس حقیقت ہے ٹوٹ جائے اگر

پتہ چلے کہ جہاں میں جہاں تو ہے ہی نہیں

میں ایک عمر سے رب کی تلاش کرتا ہوں

جہاں پہ اس کا نشاں تھا وہاں تو ہے ہی نہیں

ہر ایک ظلم کو چپ چاپ سہ رہے ہیں سبھی

معاشرے میں کوئی با زباں تو ہے ہی نہیں

یہ اشک غم کا فسانہ سنا کے مانے گا

کسی بھی طور مرا راز داں تو ہے ہی نہیں

کرو گے عشق تو جانو گے غیب کو کافرؔ

ہر ایک راز ہے ظاہر نہاں تو ہے ہی نہیں

جگجیت کافر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Habib Koi Mehrban To Hai Hi Nahin

Jagjit Kafir

koi habib koi mehrban to hai hi nahin
hamare sar pe koi aasman to hai hi nahin

jo ek aks-e-haqiqat hai TuT jae agar
pata chale ki jahan mein jahan to hai hi nahin

main ek umr se rab ki talash karta hun
jahan pe us ka nishan tha wahan to hai hi nahin

har ek zulm ko chup-chap sah rahe hain sabhi
maashre mein koi ba-zaban to hai hi nahin

ye ashk-e-gham ka fasana suna ke manega
kisi bhi taur mera raazdan to hai hi nahin

karoge ishq to jaanoge ghaib ko 'kafir'
har ek raaz hai zahir nihan to hai hi nahin

(573) ووٹ وصول ہوئے

You can read Koi Habib Koi Mehrban To Hai Hi Nahin written by Jagjit Kafir at UrduPoint. Koi Habib Koi Mehrban To Hai Hi Nahin is one of the masterpieces written by Jagjit Kafir. You can also find the complete poetry collection of Jagjit Kafir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jagjit Kafir' above.

Koi Habib Koi Mehrban To Hai Hi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Habib Koi Mehrban To Hai Hi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.