Mere Dil Mein Gardish-e-waqt Ke Kai Daur Aise Guzar Gae, Urdu Ghazal By JaiKrishn Chaudhry Habeeb

Mere Dil Mein Gardish-e-waqt Ke Kai Daur Aise Guzar Gae is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, JaiKrishn Chaudhry Habeeb. Mere Dil Mein Gardish-e-waqt Ke Kai Daur Aise Guzar Gae comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mere Dil Mein Gardish-e-waqt Ke Kai Daur Aise Guzar Gae on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مرے دل میں گردش وقت کے کئی دور ایسے گزر گئے

جے کرشن چودھری حبیب

مرے دل میں گردش وقت کے کئی دور ایسے گزر گئے

کہ جو ابھرے نقش تھے مٹ گئے جو مٹے نشاں تھے ابھر گئے

ذرا عہد ماضی کو جھانک لوں ذرا موڑ کے پیچھے بھی دیکھ لوں

مرا کارواں تھا وہ کیا ہوا مرے ہم سفر وہ کدھر گئے

وہیں یاد آتی ہیں صورتیں وہی دھندلی سی مورتیں

وہی ڈھونڈتا ہوں میں نقش پا کہ جو رہ گزر میں بکھر گئے

ہے وہی تو حاصل زندگی مجھے اب بھی ان پہ ہی ناز ہے

مری زندگی کے وہ رات دن تری یاد میں جو گزر گئے

نہ رہا وہ پہلا سا رابطہ نہیں دل سے دل کو وہ واسطہ

لیا نام تیرا کسی نے جب کئی داغ دل کے ابھر گئے

مرے جام قلب و جگر کے تھے کسی لحظہ خالی نہ رہ سکے

لیا نام تیرا کسی نے جب کئی داغ دل کے ابھر گئے

مرے ساز دل ذرا جاگ اب مجھے سوئے ہو گئیں مدتیں

یہ کنارہ دل کا خموش ہے یہاں کب کے طوفاں اتر گئے

انہیں جاں فزا مرے نغموں کا اے حبیبؔ حشر یہ کیا ہوا

کبھی گھٹ کے دل میں ہی رہ گئے کبھی لب پہ آ کے بکھر گئے

جے کرشن چودھری حبیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mere Dil Mein Gardish-e-waqt Ke Kai Daur Aise Guzar Gae

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

mere dil mein gardish-e-waqt ke kai daur aise guzar gae
ki jo ubhre naqsh the miT gae jo miTe nishan the ubhar gae

zara ahd-e-mazi ko jhank lun zara moD ke pichhe bhi dekh lun
mera karwan tha wo kya hua mere ham-safar wo kidhar gae

wahin yaad aati hain suraten wahi dhundli si muraten
wahi DhunDta hun main naqsh-e-pa ki jo rahguzar mein bikhar gae

hai wahi to hasil-e-zindagi mujhe ab bhi un pe hi naz hai
meri zindagi ke wo raat din teri yaad mein jo guzar gae

na raha wo pahla sa rabta nahin dil se dil ko wo wasta
liya nam tera kisi ne jab kai dagh dil ke ubhar gae

mere jam qalb-o-jigar ke the kisi lahza KHali na rah sake
liya nam tera kisi ne jab kai dagh dil ke ubhar gae

mere saz-e-dil zara jag ab mujhe soe ho gain muddaten
ye kinara dil ka KHamosh hai yahan kab ke tufan utar gae

inhin jaan-faza mere naghmon ka ai 'habib' hashr ye kya hua
kabhi ghuT ke dil mein hi rah gae kabhi lab pe aa ke bikhar gae

(468) ووٹ وصول ہوئے

You can read Mere Dil Mein Gardish-e-waqt Ke Kai Daur Aise Guzar Gae written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb at UrduPoint. Mere Dil Mein Gardish-e-waqt Ke Kai Daur Aise Guzar Gae is one of the masterpieces written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb. You can also find the complete poetry collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb' above.

Mere Dil Mein Gardish-e-waqt Ke Kai Daur Aise Guzar Gae is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mere Dil Mein Gardish-e-waqt Ke Kai Daur Aise Guzar Gae, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.