KHun Rulati Hai Teri Hasrat-e-didar Mujhe, Urdu Ghazal By Jameela Khuda Bakhsh

KHun Rulati Hai Teri Hasrat-e-didar Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameela Khuda Bakhsh. KHun Rulati Hai Teri Hasrat-e-didar Mujhe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHun Rulati Hai Teri Hasrat-e-didar Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خوں رلاتی ہے تری حسرت دیدار مجھے

جمیلہ خدا بخش

خوں رلاتی ہے تری حسرت دیدار مجھے

تیری فرقت نے کیا جان سے بیزار مجھے

دیں کے قابل نہ رہا اور نہ رہا دنیا کا

تجھ سے خود کام نے ایسا کیا بیکار مجھے

روح کہتی ہے کہ سو جان سے میں صدقہ ہوں

دل کے پردے میں نظر آیا ہے جب یار مجھے

جس کی چتون کا تو گھائل ہے میں اس کا زخمی

دیکھتی کیا ہے تو اے نرگس بیمار مجھے

عمر آخر ہوئی افسوس بڑی غفلت سے

دم مردن ہی کیا موت نے ہوشیار مجھے

اپنے ہاتھوں سے پھنسا ہوں میں خود ہی آفت میں

حرص دنیا نے کیا بندۂ افکار مجھے

شیخ جی جائیے مسجد میں نہیں جاتا میں

بت کافر نے کیا صاحب زنار مجھے

اک جھلک دور سے دکھلا کے یہ چھینا کیسا

سامنے آ کے دکھا جلوۂ رخسار مجھے

رکھ کے تصویر صنم دل میں عبث کہتے ہو

شیخ ہوں میں بت کافر سے سروکار مجھے

ضبط گریہ مجھے لازم ہے کہ اغیار میں یاں

بزم میں خار نہ کر چشم گہر بار مجھے

بیٹھ کر کوچۂ‌ شہ میں یہ جمیلہؔ نے کہا

غوث کافی ہے ترا سایۂ دیوار مجھے

جمیلہ خدا بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHun Rulati Hai Teri Hasrat-e-didar Mujhe

Jameela Khuda Bakhsh

KHun rulati hai teri hasrat-e-didar mujhe
teri furqat ne kiya jaan se bezar mujhe

din ke qabil na raha aur na raha duniya ka
tujh se KHud kaam ne aisa kiya be-kar mujhe

ruh kahti hai ki sau jaan se main sadqe hun
dil ke parde mein nazar aaya hai jab yar mujhe

jis ki chitwan ka tu ghayal hai main us ka zaKHmi
dekhti kya hai tu ai nargis-e-bimar mujhe

umr aaKHir hui afsos baDi ghaflat se
dam-e-murdan hi kiya maut ne hoshiyar mujhe

apne hathon se phansa hun main KHud hi aafat mein
hirs-e-duniya ne kiya banda-e-afkar mujhe

shaiKH-ji jaiye masjid mein nahin jata main
but-e-kafir ne kiya sahib-e-zunnar mujhe

ek jhalak dur se dikhla ke ye chhina kaisa
samne aa ke dikha jalwa-e-ruKHsar mujhe

rakh ke taswir-e-sanam dil mein abas kahte ho
shaiKH hun main but-e-kafir se sarokar mujhe

zabt-e-girya mujhe lazim hai ki aghyar mein yan
bazm mein KHar na kar chashm-e-guhar-bar mujhe

baiTh kar kucha-e-shah mein ye 'jamila' ne kaha
ghaus kafi hai tera saya-e-diwar mujhe

(413) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHun Rulati Hai Teri Hasrat-e-didar Mujhe written by Jameela Khuda Bakhsh at UrduPoint. KHun Rulati Hai Teri Hasrat-e-didar Mujhe is one of the masterpieces written by Jameela Khuda Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jameela Khuda Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameela Khuda Bakhsh' above.

KHun Rulati Hai Teri Hasrat-e-didar Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHun Rulati Hai Teri Hasrat-e-didar Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.