Koi Bahaar Ki KHatir Koi KHizan Ke Liye, Urdu Ghazal By Jameeluddin Aali

Koi Bahaar Ki KHatir Koi KHizan Ke Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameeluddin Aali. Koi Bahaar Ki KHatir Koi KHizan Ke Liye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Koi Bahaar Ki KHatir Koi KHizan Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی بہار کی خاطر کوئی خزاں کے لیے

جمیل الدین عالی

کوئی بہار کی خاطر کوئی خزاں کے لیے

بس ایک میں ہی رہا صرف گلستاں کے لیے

الٰہی مجھ سے نظر چھین لے کہ اہل نظر

تمام عمر تڑپتے ہیں رازداں کے لیے

مسرتیں جو ملیں تیرے لطف پیہم سے

مچل رہی ہیں کسی جور ناگہاں کے لیے

مجھے ہیں خار سے کچھ خاص نسبتیں کہ یہ گل

بہار میں نہ کھلا رونق خزاں کے لیے

ہمیں ان اہل سخن میں نہ کر شمار کہ یہ

فغاں بھی کرتے ہیں خوش وقتئ فغاں کے لیے

کریں نہ ذکر تمہارا تو کیا کریں کہ ہمیں

کچھ اور مل نہ سکا اپنی داستاں کے لیے

ہمارے دیس میں ایران و نجد سے استاد

بلائے جاتے ہیں تعلیم عاشقاں کے لیے

ہمارے شہر میں فن کے اجارہ داروں نے

کچل رکھا ہے دلوں کو فقط زباں کے لیے

ہم اپنے دیس اور اپنے ہی شہر میں عالیؔ

گدا گری پہ ہیں مجبور سوز جاں کے لیے

جمیل الدین عالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Bahaar Ki KHatir Koi KHizan Ke Liye

Jameeluddin Aali

koi bahaar ki KHatir koi KHizan ke liye
bas ek main hi raha sirf gulsitan ke liye

ilahi mujh se nazar chhin le ki ahl-e-nazar
tamam-umr taDapte hain raaz-dan ke liye

masarraten jo milin tere lutf-e-paiham se
machal rahi hain kisi jaur-e-na-gahan ke liye

mujhe hain KHar se kuchh KHas nisbaten ki ye gul
bahaar mein na khila raunaq-e-KHizan ke liye

hamein un ahl-e-suKHan mein na kar shumar ki ye
fughan bhi karte hain KHush-waqti-e-fughan ke liye

karen na zikr tumhaara to kya karen ki hamein
kuchh aur mil na saka apni dastan ke liye

hamare des mein iran-o-najd se ustad
bulae jate hain talim-e-ashiqan ke liye

hamare shahr mein fan ke ijara-daron ne
kuchal rakha hai dilon ko faqat zaban ke liye

hum apne des aur apne hi shahr mein 'ali'
gada-gadi pe hain majbur soz-e-jaan ke liye

(678) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Koi Bahaar Ki KHatir Koi KHizan Ke Liye written by Jameeluddin Aali at UrduPoint. Koi Bahaar Ki KHatir Koi KHizan Ke Liye is one of the masterpieces written by Jameeluddin Aali. You can also find the complete poetry collection of Jameeluddin Aali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameeluddin Aali' above.

Koi Bahaar Ki KHatir Koi KHizan Ke Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Bahaar Ki KHatir Koi KHizan Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.