Phir Naghma-rez Abr-e-bahaaran Hai Aaj-kal, Urdu Ghazal By Jauhar Nizami

Phir Naghma-rez Abr-e-bahaaran Hai Aaj-kal is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jauhar Nizami. Phir Naghma-rez Abr-e-bahaaran Hai Aaj-kal comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Phir Naghma-rez Abr-e-bahaaran Hai Aaj-kal on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پھر نغمہ ریز ابر بہاراں ہے آج کل

جوہر نظامی

پھر نغمہ ریز ابر بہاراں ہے آج کل

پھر چاک دل بقدر گریباں ہے آج کل

رنگینیٔ بہار کا اللہ رے فسوں

ساز دل شکستہ غزل خواں ہے آج کل

پھر میں ہوں اور محفل جاناں کی آرزو

پھر مہرباں سیاست درباں ہے آج کل

وہ سجدہ جو بہائے دو عالم سے ہے گراں

میری جبین شوق میں غلطاں ہے آج کل

یہ ابر یہ ہوا یہ برستی ہوئی شراب

کافر ہے سخت وہ جو مسلماں ہے آج کل

ساقی نے وا کیا در مے خانۂ حیات

فطرت کی چشم مہر پشیماں ہے آج کل

میں اور دور ساغر و مینا ہے ان دنوں

آنکھیں ہیں اور تصور جاناں ہے آج کل

پہلے بھی عطر بیز نسیم بہار تھی

کس کی شمیم زلف پریشاں ہے آج کل

بھاتی نہیں ہے دل کو کسی ساز کی صدا

نغموں کا ہر نفس میں وہ طوفاں ہے آج کل

ژولیدگی نہ پوچھ فضاؤں میں ہم نشیں

خوشبوئے زلف دوست پریشاں ہے آج کل

ہر جلوہ حیات بقدر نشاط و رنگ

منت کش تبسم جاناں ہے آج کل

اے روح درد و شاد یہ تیرا ہی فیض ہے

جوہرؔ جو اس ادا سے غزل خواں ہے آج کل

جوہر نظامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Phir Naghma-rez Abr-e-bahaaran Hai Aaj-kal

Jauhar Nizami

phir naghma-rez abr-e-bahaaran hai aaj-kal
phir chaak-e-dil ba-qadr-e-gareban hai aaj-kal

rangini-e-bahaar ka allah re fusun
saz-e-dil-e-shikasta ghazal-KHwan hai aaj-kal

phir main hun aur mahfil-e-jaanan ki aarzu
phir mehrban siyasat-e-darban hai aaj-kal
wo sajda jo bahae do-alam se hai garan

meri jabin-e-shauq mein ghaltan hai aaj-kal
ye abr ye hawa ye barasti hui sharab

kafir hai saKHt wo jo musalman hai aaj-kal

saqi ne wa kiya dar-e-mai-KHana-e-hayat
fitrat ki chashm-e-mehr pasheman hai aaj-kal

main aur daur-e-saghar-o-mina hai in dinon
aankhen hain aur tasawwur-e-jaanan hai aaj-kal

pahle bhi itr-bez nasim-e-bahaar thi
kis ki shamim-e-zulf pareshan hai aaj-kal

bhati nahin hai dil ko kisi saz ki sada
naghmon ka har-nafas mein wo tufan hai aaj-kal

zholidgi na puchh fazaon mein ham-nashin
KHushbu-e-zulf-e-dost pareshan hai aaj-kal

har jalwa-e-hayat ba-qadr-e-nishat-o-rang
minnat-kash-e-tabassum-e-jaanan hai aaj-kal

ai ruh-e-dard-o-shad ye tera hi faiz hai
'jauhar' jo is ada se ghazal-KHwan hai aaj-kal

(385) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Phir Naghma-rez Abr-e-bahaaran Hai Aaj-kal written by Jauhar Nizami at UrduPoint. Phir Naghma-rez Abr-e-bahaaran Hai Aaj-kal is one of the masterpieces written by Jauhar Nizami. You can also find the complete poetry collection of Jauhar Nizami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jauhar Nizami' above.

Phir Naghma-rez Abr-e-bahaaran Hai Aaj-kal is a widely read Urdu Ghazal. If you like Phir Naghma-rez Abr-e-bahaaran Hai Aaj-kal, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.