Koi Chahat Hi Rahi Aur Na Sauda Sar Mein, Urdu Ghazal By Jauhar Timmapuri

Koi Chahat Hi Rahi Aur Na Sauda Sar Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jauhar Timmapuri. Koi Chahat Hi Rahi Aur Na Sauda Sar Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Koi Chahat Hi Rahi Aur Na Sauda Sar Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی چاہت ہی رہی اور نہ سودا سر میں

جوہر تماپوری

کوئی چاہت ہی رہی اور نہ سودا سر میں

ایک مقروض کی مانند پڑے ہیں گھر میں

جیسے پانی سے کوئی پھول کو تازہ رکھے

ہم نے کچھ درد چھپا رکھے ہیں چشم تر میں

اب رہائی بھی ملے گی تو سزا ہی ہوگی

نہیں پرواز کی قوت مرے بال و پر میں

خیر ہو خیر تو اب خار سا کھٹکے سب کو

غم تو یہ ہے کہ سکوں بھی نہیں ملتا شر میں

اس قدر ہو گیا مشہور یہ آسیب زدہ

کوئی رہتا نہیں اب آ کے ہمارے گھر میں

ہم تھے نادان لٹے دوست کے ہاتھوں جوہرؔ

کیسے پیٹیں یہ ڈھنڈورا بھی زمانے بھر میں

جوہر تماپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Chahat Hi Rahi Aur Na Sauda Sar Mein

Jauhar Timmapuri

koi chahat hi rahi aur na sauda sar mein
ek maqruz ki manind paDe hain ghar mein

jaise pani se koi phul ko taza rakhe
hum ne kuchh dard chhupa rakkhe hain chashm-e-tar mein

ab rihai bhi milegi to saza hi hogi
nahin parwaz ki quwwat mere baal-o-par mein

KHair ho KHair to ab KHar sa khaTke sab ko
gham to ye hai ki sukun bhi nahin milta shar mein

is qadar ho gaya mashhur ye aaseb-zada
koi rahta nahin ab aa ke hamare ghar mein

hum the nadan luTe dost ke hathon 'jauhar'
kaise piTen ye DhinDhora bhi zamane bhar mein

(549) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Koi Chahat Hi Rahi Aur Na Sauda Sar Mein written by Jauhar Timmapuri at UrduPoint. Koi Chahat Hi Rahi Aur Na Sauda Sar Mein is one of the masterpieces written by Jauhar Timmapuri. You can also find the complete poetry collection of Jauhar Timmapuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jauhar Timmapuri' above.

Koi Chahat Hi Rahi Aur Na Sauda Sar Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Chahat Hi Rahi Aur Na Sauda Sar Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.