Ba-sad Aarzu Jo Wo Aaya To Ye Hijab-e-ishq Se Haal Tha, Urdu Ghazal By Jurat Qalandar Bakhsh

Ba-sad Aarzu Jo Wo Aaya To Ye Hijab-e-ishq Se Haal Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jurat Qalandar Bakhsh. Ba-sad Aarzu Jo Wo Aaya To Ye Hijab-e-ishq Se Haal Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ba-sad Aarzu Jo Wo Aaya To Ye Hijab-e-ishq Se Haal Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بہ صد آرزو جو وہ آیا تو یہ حجاب عشق سے حال تھا

جرأت قلندر بخش

بہ صد آرزو جو وہ آیا تو یہ حجاب عشق سے حال تھا

کہ ہزاروں دل میں تھیں حسرتیں اور اٹھانا آنکھ محال تھا

رہا شب جو ہم سے جدا کوئی تو کہے یہ واقعہ کیا کوئی

شب ہجر تھی کہ بلا کوئی جسے دیکھتے ہی وصال تھا

رخ یار تا نہ پڑا نظر رہے ہم الم سے یہ نوحہ گر

کہ ہمارے رنج و ملال پر تو ملال کو بھی ملال تھا

کرے کون اس سے برابری مہ و زہرہ سب کو تھی ہم سری

دم صبح دیکھ ستم گری رخ مہر ذرہ مثال تھا

شب وصل دیکھ کے خواب میں میں پڑا تھا سخت عذاب میں

تھے ہزار سوچ جواب میں عجب اس کا مجھ سے سوال تھا

مرے جوش اشک سے بہرہ ور ہوئے کل جہان کے بحر و بر

نہ برستی آج یہ چشم تر تو خدا نخواستہ کال تھا

جو نمود کرتے ہی آپ سے لگے بیٹھنے وہ شتاب سے

تو یہ پوچھے کوئی حباب سے کہ پھلائے اپنے یہ گال تھا

ہوا میں بھی داخل کشتگاں تو عبث تو ہووے ہے سر گراں

کہ مرے گلے کی طرف میاں ترے آب تیغ کا ڈھال تھا

دیا کھا کے آپ نے پان جو دل مبتلا ہوا سرخ رو

اسے سمجھا پیٹ کا بوجھ وہ جو تمہارے منہ کا اگال تھا

جو مریض تھا پڑا جاں بہ لب خبر اور کچھ نہیں اس کی اب

مگر اتنا کہتے ہیں لوگ سب کہ بڑا یہ نیک خصال تھا

جو چمن سے دور قفس ہوا تو میں اور اسیر ہوس ہوا

یہ جو ظلم اب کے برس ہوا یہی قہر اگلے بھی سال تھا

نہیں چاہتا ہے اب آسماں کہ ہم اور وہ ہوں بہ یک مکاں

کہیں آ گیا جو وہ شب کو یاں کہ بلانا جس کا محال تھا

تو یہ رنگ چنبر چرخ کا نظر آئے تھا مجھے برملا

کبھی تھا سیہ کبھی زرد تھا کبھی سبز تھا کبھی لال تھا

نہ کسی نے قدر کی جرأتؔ اب کہے شعر گرچہ عجب عجب

جو نہ ہوں گے ہم تو کہیں گے سب کہ بڑا یہ اہل کمال تھا

جرأت قلندر بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ba-sad Aarzu Jo Wo Aaya To Ye Hijab-e-ishq Se Haal Tha

Jurat Qalandar Bakhsh

ba-sad aarzu jo wo aaya to ye hijab-e-ishq se haal tha
ki hazaron dil mein thin hasraten aur uThana aankh muhaal tha

raha shab jo hum se juda koi to kahe ye waqia kya koi
shab-e-hijr thi ki bala koi jise dekhte hi visal tha

ruKH-e-yar ta na paDa nazar rahe hum alam se ye nauhagar
ki hamare ranj-o-malal par to malal ko bhi malal tha

kare kaun us se barabari mah-o-zohra sab ko thi ham-sari
dam-e-subh dekh sitamgari ruKH-e-mahr zarra-misal tha

shab-e-wasl dekh ke KHwab mein main paDa tha saKHt azab mein
the hazar soch jawab mein ajab us ka mujh se sawal tha

mere josh-e-ashk se bahra-war hue kul jahan ke bahr-o-bar
na barasti aaj ye chashm-e-tar to KHuda-na-KHwasta kal tha

jo numud karte hi aap se lage baiThne wo shitab se
to ye puchhe koi hubab se ki phulae apne ye gal tha

hawa main bhi daKHil-e-kushtgan to abas tu howe hai sar-garan
ki mere gale ki taraf miyan tere aab-e-tegh ka Dhaal tha

diya kha ke aap ne pan jo dil-e-mubtala hua surKH-ru
use samjha peT ka bojh wo jo tumhaare munh ka ugal tha

jo mariz tha paDa jaan-ba-lab KHabar aur kuchh nahin us ki ab
magar itna kahte hain log sab ki baDa ye nek-KHisal tha

jo chaman se dur qafas hua to main aur asir-e-hawas hua
ye jo zulm ab ke baras hua yahi qahr agle bhi sal tha

nahin chahta hai ab aasman ki hum aur wo hun ba-yak-makan
kahin aa gaya jo wo shab ko yan ki bulana jis ka muhaal tha

to ye rang chambar-e-charKH ka nazar aae tha mujhe barmala
kabhi tha siyah kabhi zard tha kabhi sabz tha kabhi lal tha

na kisi ne qadr ki 'jurat' ab kahe sher garche ajab ajab
jo na honge hum to kahenge sab ki baDa ye ahl-e-kamal tha

(508) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ba-sad Aarzu Jo Wo Aaya To Ye Hijab-e-ishq Se Haal Tha written by Jurat Qalandar Bakhsh at UrduPoint. Ba-sad Aarzu Jo Wo Aaya To Ye Hijab-e-ishq Se Haal Tha is one of the masterpieces written by Jurat Qalandar Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jurat Qalandar Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jurat Qalandar Bakhsh' above.

Ba-sad Aarzu Jo Wo Aaya To Ye Hijab-e-ishq Se Haal Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ba-sad Aarzu Jo Wo Aaya To Ye Hijab-e-ishq Se Haal Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.