Sakit Hai Badan KHwab Ki Lazzat Se Guzar Kar, Urdu Ghazal By Kamran Nafees

Sakit Hai Badan KHwab Ki Lazzat Se Guzar Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kamran Nafees. Sakit Hai Badan KHwab Ki Lazzat Se Guzar Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sakit Hai Badan KHwab Ki Lazzat Se Guzar Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ساکت ہے بدن خواب کی لذت سے گزر کر

کامران نفیس

ساکت ہے بدن خواب کی لذت سے گزر کر

حیرت میں ہے دل کوچۂ حیرت سے گزر کر

اک نخل شناسائی میں رکنا پڑا تا دیر

پایا اسے پھر دشت وضاحت سے گزر کر

شمشیر دعا کرکے مصلے سے اٹھائی

پھر جنگ پہ نکلا میں عبادت سے گزر کر

اک زخم کے اندر بھی تو ہوتا ہے کہیں زخم

بھرتا جو نہیں کار جراحت سے گزر کر

اک قید مسلسل ہے کہ ہر دن مری تنہائی

کمرے میں چلی آتی ہے خلقت سے گزر کر

دشمن کے تعاقب میں تھی مشکل بڑی درپیش

جانا تھا مجھے مال غنیمت سے گزر کر

منظر پس منظر میں چھپا ہے کہیں عریاں

تصویر میں پردے کی رعایت سے گزر کر

میں نیند میں چل کر ہی اٹھا لاؤں گا مہتاب

اس خواب کی بوسیدہ عمارت سے گزر کر

تھا کار ضرورت بھی گراں کار جنوں پر

معلوم ہوا رنج معیشت سے گزر کر

میں دیر سے پہنچا تھا سو بالوں میں لگا پھول

مرجھا ہی گیا لمس کی حسرت سے گزر کر

اس شوخ سے نادم ہے مری طاقت گفتار

ہر لفظ ادا ہوتا ہے لکنت سے گزر کر

کامران نفیس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sakit Hai Badan KHwab Ki Lazzat Se Guzar Kar

Kamran Nafees

sakit hai badan KHwab ki lazzat se guzar kar
hairat mein hai dil kucha-e-hairat se guzar kar

ek naKHl-e-shanasai mein rukna paDa ta-der
paya use phir dasht-e-wazahat se guzar kar

shamshir dua karke musalle se uThai
phir jang pe nikla main ibaadat se guzar kar

ek zaKHm ke andar bhi to hota hai kahin zaKHm
bharta jo nahin kar-e-jarahat se guzar kar

ek qaid-e-musalsal hai ki har din meri tanhai
kamre mein chali aati hai KHilqat se guzar kar

dushman ke taaqub mein thi mushkil baDi darpesh
jaana tha mujhe mal-e-ghanimat se guzar kar

manzar pas-e-manzar mein chhupa hai kahin uryan
taswir mein parde ki riayat se guzar kar

main nind mein chal kar hi uTha launga mahtab
is KHwab ki bosida imarat se guzar kar

tha kar-e-zarurat bhi giran kar-e-junun par
malum hua ranj-e-maishat se guzar kar

main der se pahuncha tha so baalon mein laga phul
murjha hi gaya lams ki hasrat se guzar kar

us shoKH se nadim hai meri taqat-e-guftar
har lafz ada hota hai luknat se guzar kar

(578) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sakit Hai Badan KHwab Ki Lazzat Se Guzar Kar written by Kamran Nafees at UrduPoint. Sakit Hai Badan KHwab Ki Lazzat Se Guzar Kar is one of the masterpieces written by Kamran Nafees. You can also find the complete poetry collection of Kamran Nafees by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kamran Nafees' above.

Sakit Hai Badan KHwab Ki Lazzat Se Guzar Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sakit Hai Badan KHwab Ki Lazzat Se Guzar Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.