Mujhko Qismat Se Mil Gaya Tha Wo, Urdu Ghazal By Kanval Malik

Mujhko Qismat Se Mil Gaya Tha Wo is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kanval Malik. Mujhko Qismat Se Mil Gaya Tha Wo comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mujhko Qismat Se Mil Gaya Tha Wo on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مجھ کو قسمت سے مل گیا تھا وہ

کنول ملک

مجھ کو قسمت سے مل گیا تھا وہ

اف مقدر میں کب لکھا تھا وہ

میں گئی حال دل سنانے کو

اور رش میں گھرا ہوا تھا وہ

جس کو ترسی رہیں مری آنکھیں

سامنے ہی کھڑا ہوا تھا وہ

جس کی خاطر سنور کے آئی میں

اک نظر بھی نہ دیکھتا تھا وہ

اس کے چہرے کو پڑھ رہی تھی میں

ایک کاغذ پہ لکھ رہا تھا وہ

دل کی دھڑکن بھی تیز ہو گئی تھی

ایسے رک رک کے بولتا تھا وہ

اس کا لہجہ کہ گڑ سے میٹھا تھا

چاشنی ایسے گھولتا تھا وہ

میں نے پھولوں سے بھر لیا آنچل

کہ اچانک ہی ہنس دیا تھا وہ

میں بھی چپ تھی کہ اس سے کہتی کیا

اور آنکھوں کو پڑھ رہا تھا وہ

میں نے چائے جو پیش کی تھی اسے

اک تکلف میں پڑ گیا تھا وہ

ایک چائے کیا جان دیتی میں

شکریہ ایسے کہہ رہا تھا وہ

وہ جو برسوں سے روک رکھا تھا

میرے ہونٹوں پہ آ گیا تھا وہ

پھر میرے لفظ ہی نہیں بولے

اور چپ چاپ سن رہا تھا وہ

ایک ضد پر اڑی ہوئی تھی میں

اک انا میں پڑا ہوا تھا وہ

میرے آنسو بھی دیکھ نہ پایا

خوش رہیں آپ کہہ رہا تھا وہ

میں نے سوچا کہ کچھ تو پوچھے گا

جا رہی تھی میں چپ کھڑا تھا وہ

اس کو حیرت سے دیکھتی تھی میں

مجھ کو حیرت سے دیکھتا تھا وہ

آخری نظم لکھ کر آ گئی میں

پھر مری نظم پڑھ رہا تھا وہ

میرے سجدے بھی ہو گئے تھے قضا

یاد سجدوں میں آ گیا تھا وہ

میں نے باندھی نماز عشق کنولؔ

میرے پہلو میں جب کھڑا تھا وہ

کنول ملک

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mujhko Qismat Se Mil Gaya Tha Wo

Kanval Malik

mujh ko qismat se mil gaya tha wo
uf muqaddar mein kab likha tha wo

main gai haal-e-dil sunane ko
aur rush mein ghira hua tha wo

jis ko tarsi rahin meri aankhen
samne hi khaDa hua tha wo

jis ki KHatir sanwar ke aai main
ek nazar bhi na dekhta tha wo

us ke chehre ko paDh rahi thi main
ek kaghaz pe likh raha tha wo

dil ki dhaDkan bhi tez ho gai thi
aise ruk ruk ke bolta tha wo

is ka lahja ki guD se miTha tha
chashni aise gholta tha wo

main ne phulon se bhar liya aanchal
ki achanak hi hans diya tha wo

main bhi chup thi ki us se kahti kya
aur aankhon ko paDh raha tha wo

main ne chae jo pesh ki thi use
ek takalluf mein paD gaya tha wo

ek chae kya jaan deti main
shukriya aise kah raha tha wo

wo jo barson se rok rakkha tha
mere honTon pe aa gaya tha wo

phir mere lafz hi nahin bole
aur chup-chap sun raha tha wo

ek zid par aDi hui thi main
ek ana mein paDa hua tha wo

mere aansu bhi dekh na paya
KHush rahen aap kah raha tha wo

main ne socha ki kuchh to puchhega
ja rahi thi main chup khaDa tha wo

us ko hairat se dekhti thi main
mujh ko hairat se dekhta tha wo

aaKHiri nazm likh kar aa gai main
phir meri nazm paDh raha tha wo

mere sajde bhi ho gae the qaza
yaad sajdon mein aa gaya tha wo

main ne bandhi namaz-e-ishq 'kanwal'
mere pahlu mein jab khaDa tha wo

(576) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mujhko Qismat Se Mil Gaya Tha Wo written by Kanval Malik at UrduPoint. Mujhko Qismat Se Mil Gaya Tha Wo is one of the masterpieces written by Kanval Malik. You can also find the complete poetry collection of Kanval Malik by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kanval Malik' above.

Mujhko Qismat Se Mil Gaya Tha Wo is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mujhko Qismat Se Mil Gaya Tha Wo, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.