Hawa Ke Madd-e-muqabil Raha Kisi Ke Liye, Urdu Ghazal By Kausar Siddiqi

Hawa Ke Madd-e-muqabil Raha Kisi Ke Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kausar Siddiqi. Hawa Ke Madd-e-muqabil Raha Kisi Ke Liye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hawa Ke Madd-e-muqabil Raha Kisi Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہوا کے مد مقابل رہا کسی کے لیے

کوثر صدیقی

ہوا کے مد مقابل رہا کسی کے لیے

میں وہ دیا ہوں جو شب بھر جلا کسی کے لیے

ہمارے واسطے کوئی دعا کرے نہ کرے

ہمارے پاس نہیں بد دعا کسی کے لیے

ہوا کے خوف سے مت بیٹھ گھپ اندھیرے میں

جلائے جا تو دیے پر دیا کسی کے لیے

بچا کے شمع دل و جاں میں کس لیے رکھتا

میں جل گیا سر راہ وفا کسی کے لیے

نہ جانے آپ کا میزان عدل کیسا ہے

کسی کو حکم رہائی سزا کسی کے لیے

بہت بہانے تھے بجھنے کے واسطے کوثرؔ

مگر میں خود کو جلاتا رہا کسی کے لیے

کوثر صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hawa Ke Madd-e-muqabil Raha Kisi Ke Liye

Kausar Siddiqi

hawa ke madd-e-muqabil raha kisi ke liye
main wo diya hun jo shab bhar jala kisi ke liye

hamare waste koi dua kare na kare
hamare pas nahin bad-dua kisi ke liye

hawa ke KHauf se mat baiTh ghup andhere mein
jalae ja tu diye par diya kisi ke liye

bacha ke shama-e-dil-o-jaan main kis liye rakhta
main jal gaya sar-e-rah-e-wafa kisi ke liye

na jaane aap ka mizan-e-adl kaisa hai
kisi ko hukm-e-rihai saza kisi ke liye

bahut bahane the bujhne ke waste 'kausar'
magar main KHud ko jalata raha kisi ke liye

(580) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hawa Ke Madd-e-muqabil Raha Kisi Ke Liye written by Kausar Siddiqi at UrduPoint. Hawa Ke Madd-e-muqabil Raha Kisi Ke Liye is one of the masterpieces written by Kausar Siddiqi. You can also find the complete poetry collection of Kausar Siddiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kausar Siddiqi' above.

Hawa Ke Madd-e-muqabil Raha Kisi Ke Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hawa Ke Madd-e-muqabil Raha Kisi Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.