Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai, Urdu Ghazal By Khalid Irfan

Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khalid Irfan. Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میان ہند و پاکستان اک سرحد کا جھگڑا ہے (ردیف .. ن)

خالد عرفان

میان ہند و پاکستان اک سرحد کا جھگڑا ہے

وگرنہ اس عمارت کے منارے ایک جیسے ہیں

کراچی کا کچن ہو یا وہ دکن کی رسوئی ہو

نمک کا فرق ہے بیگن بگھارے ایک جیسے ہیں

پجاموں کے ڈیزائن کو بدل ڈالا تو کیا غم ہے

ہماری بیویوں کے تو غرارے ایک جیسے ہیں

پریشاں حال ہے پبلک مگر دونوں ممالک کے

مراثی کرکٹر فلمی ستارے ایک جیسے ہیں

کنوارے لوگ تو ہر ملک میں آزاد پھرتے ہیں

مگر شادی شدہ قسمت کے مارے ایک جیسے ہیں

برائے عقد خوانی قاضیوں میں فرق ہے لیکن

کراچی اور دلی کے چھوارے ایک جیسے ہیں

کنوارہ آدمی ہو یا کوئی آزاد لیڈر ہو

جو بے پیندے کے لوٹے ہیں وہ سارے ایک جیسے ہیں

نکمے رہنما اور عقل سے پیدل سیاست داں

ہمارے ایک جیسے ہیں تمہارے ایک جیسے ہیں

یہاں کا خالدؔ عرفاں وہاں کے راحتؔ اندوری

نرے شاعر ہیں دونوں کے ستارے ایک جیسے ہیں

خالد عرفان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai

Khalid Irfan

miyan-e-hind-o-pakistan ek sarhad ka jhagDa hai
wagarna is imarat ke manare ek jaise hain

karachi ka kitchen ho ya wo dakkan ki rasoi ho
namak ka farq hai baigan baghaare ek jaise hain

pajamon ke design ko badal Dala to kya gham hai
hamari biwiyon ke to gharare ek jaise hain

pareshan-haal hai public magar donon mamalik ke
mirasi cricketer filmi-sitare ek jaise hain

kunware log to har mulk mein aazad phirte hain
magar shadi-shuda qismat ke mare ek jaise hain

barae-aqd-KHwani qaziyon mein farq hai lekin
karachi aur dilli ke chuware ek jaise hain

kunwara aadmi ho ya koi aazad leader ho
jo be-pende ke lauTe hain wo sare ek jaise hain

nikamme rahnuma aur aql se paidal siyasat-dan
hamare ek jaise hain tumhaare ek jaise hain

yahan ka 'KHalid-e-irfan' wahan ke 'rahat-indori'
nire shair hain donon ke sitare ek jaise hain

(774) ووٹ وصول ہوئے

You can read Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai written by Khalid Irfan at UrduPoint. Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai is one of the masterpieces written by Khalid Irfan. You can also find the complete poetry collection of Khalid Irfan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalid Irfan' above.

Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Miyan-e-hind-o-pakistan Ek Sarhad Ka JhagDa Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.