Samundar Aur Tishnagi, Urdu Nazam By Khalid Suhail

Samundar Aur Tishnagi is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Khalid Suhail. Samundar Aur Tishnagi comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Samundar Aur Tishnagi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سمندر اور تشنگی

خالد سہیل

سمندر کے کنارے

چاندنی راتوں میں بیٹھا

ان حسیں شاموں کو اکثر یاد کرتا ہوں

وہ شامیں جب وہ میرے ساتھ ہوتی تھی

سمندر کی نہایت شوخ لہروں میں

اکٹھے ہم بھی پتھر پھینکتے تھے

اور پھر ہم کھلکھلا کر ہنس دیتے تھے

مگر اب چاندنی راتوں میں جب میں

سیر کو جاتا ہوں تنہائی کا کمبل اوڑھ لیتا ہوں

سمندر کے کنارے جب بھی گہری سوچ میں ڈوبوں

اداسی خامشی سے پاس آ کر بیٹھ جاتی ہے

مرے کندھے پہ ہمدردی سے اپنا ہاتھ رکھتی ہے

وہ کچھ کہتی نہیں لیکن مجھے معلوم ہے وہ

اس فضا اور میری آنکھوں کی نمی محسوس کرتی ہے

نمی جو مدتوں کے بعد بھی مجھ کو بہت مغموم رکھتی ہے

خالد سہیل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Samundar Aur Tishnagi

Khalid Suhail

samundar ke kinare
chandni raaton mein baiTha
un hasin shamon ko akasr yaad karta hun
wo shamen jab wo mere sath hoti thi
samundar ki nihayat shoKH lahron mein
ikaTThe hum bhi patthar phenkte the
aur phir hum khilkhila kar hans dete the

magar ab chandni raaton mein jab main
sair ko jata hun tanhai ka kambal oDh leta hun
samundar ke kinare jab bhi gahri soch mein Dubun
udasi KHamushi se pas aa kar baiTh jati hai
mere kandhe pe hamdardi se apna hath rakhti hai
wo kuchh kahti nahin lekin mujhe malum hai wo
is faza aur meri aankhon ki nami mahsus karti hai
nami jo muddaton ke baad bhi mujh ko bahut maghmum rakhti hai

(585) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Samundar Aur Tishnagi written by Khalid Suhail at UrduPoint. Samundar Aur Tishnagi is one of the masterpieces written by Khalid Suhail. You can also find the complete poetry collection of Khalid Suhail by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalid Suhail' above.

Samundar Aur Tishnagi is a widely read Urdu Nazam. If you like Samundar Aur Tishnagi, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.