Koh-e-nida, Urdu Nazam By Khawar Naqeeb

Koh-e-nida is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Khawar Naqeeb. Koh-e-nida comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Koh-e-nida on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوہ ندا

خاور نقیب

ابھی کوہ ندا پر شور پھیلا ہے

کسے آواز دیں

کس کو پکاریں ہم

ابھی سرسبز آوازوں کا

موسم بھی نہیں آیا

ابھی خاموشیوں کے

ڈھیر سارے موم ہیں باقی

جنہیں آواز کے زریں تصادم سے

پگھلنا ہے

کٹھالوں کے دہانوں سے گزر کر

تہ بہ تہ جمنا بھی ہے ان کو

مگر آواز کی ہلکی سی آہٹ بھی نہیں آتی

نہ جانے کون سی وادی میں خیمہ زن

سکوت لم یزل کے گیت گاتی ہے

طلسم خامشی میں جذب ہو کر

شور کے ہیجان سے آزاد ہو جانا

زمانے بھر کی

بے مطلب صداؤں میں

سرود خامشی کا نور بھر دینا

یہی آواز کی معراج ہے شاید

یہی آواز کی معراج ہے شاید

ابھی کوہ ندا پر شور پھیلا ہے

کسے آواز دیں

کس کو پکاریں ہم

خاور نقیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koh-e-nida

Khawar Naqeeb

abhi koh-e-nida par shor phaila hai
kise aawaz den
kis ko pukaren hum
abhi sarsabz aawazon ka
mausam bhi nahin aaya
abhi KHamoshiyon ke
Dher sare mom hain baqi
jinhen aawaz ke zarrin tasadum se
pighalna hai
kaThaalon ke dahanon se guzar kar
tah-ba-tah jamna bhi hai un ko
magar aawaz ki halki si aahaT bhi nahin aati
na jaane kaun si wadi mein KHema-zan
sukut-e-lam-yazal ke git gati hai

tilism-e-KHamushi mein jazb ho kar
shor ke haijaan se aazad ho jaana
zamane bhar ki
be-matlab sadaon mein
surud-e-KHamushi ka nur bhar dena
yahi aawaz ki mearaj hai shayad
yahi aawaz ki mearaj hai shayad
abhi koh-e-nida par shor phaila hai
kise aawaz den
kis ko pukaren hum

(581) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Koh-e-nida written by Khawar Naqeeb at UrduPoint. Koh-e-nida is one of the masterpieces written by Khawar Naqeeb. You can also find the complete poetry collection of Khawar Naqeeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khawar Naqeeb' above.

Koh-e-nida is a widely read Urdu Nazam. If you like Koh-e-nida, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.