Bahr-e-be-ab Ke Alawa Bhi, Urdu Ghazal By Khizr Abbas

Bahr-e-be-ab Ke Alawa Bhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khizr Abbas. Bahr-e-be-ab Ke Alawa Bhi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bahr-e-be-ab Ke Alawa Bhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بحر بے آب کے علاوہ بھی

خضر عباس

بحر بے آب کے علاوہ بھی

وہ ملے خواب کے علاوہ بھی

دل مرا چاہتا ہے رستہ ہو

گرد گرداب کے علاوہ بھی

کچھ مرے اور بھی تو دشمن ہیں

میرے احباب کے علاوہ بھی

حسن کہتا ہے دیجئے تشبیہ

مجھ کو مہتاب کے علاوہ بھی

کچھ سبب چاہئے تھا ملنے کا

باقی اسباب کے علاوہ بھی

داغ کچھ اور بھی جبیں پر ہیں

داغ محراب کے علاوہ بھی

فکر ہے مجھ کو سوکھے پیڑوں کی

شجر شاداب کے علاوہ بھی

پر پرندوں کے ہیں عزیز خضرؔ

مجھ کو سرخاب کے علاوہ بھی

خضر عباس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bahr-e-be-ab Ke Alawa Bhi

Khizr Abbas

bahr-e-be-ab ke alawa bhi
wo mile KHwab ke alawa bhi

dil mera chahta hai rasta ho
gard girdab ke alawa bhi

kuchh mere aur bhi to dushman hain
mere ahbab ke alawa bhi

husn kahta hai dijiye tashbih
mujh ko mahtab ke alawa bhi

kuchh sabab chahiye tha milne ka
baqi asbab ke alawa bhi

dagh kuchh aur bhi jabin par hain
dagh-e-mehrab ke alawa bhi

fikr hai mujh ko sukhe peDon ki
shajar-e-shadab ke alawa bhi

par parindon ke hain aziz 'KHizar'
mujh ko surKHab ke alawa bhi

(628) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bahr-e-be-ab Ke Alawa Bhi written by Khizr Abbas at UrduPoint. Bahr-e-be-ab Ke Alawa Bhi is one of the masterpieces written by Khizr Abbas. You can also find the complete poetry collection of Khizr Abbas by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khizr Abbas' above.

Bahr-e-be-ab Ke Alawa Bhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bahr-e-be-ab Ke Alawa Bhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.