Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin, Urdu Ghazal By Khurshid Ahmad Jami

Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khurshid Ahmad Jami. Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جاگتے غم بھی نہیں جھومتے سائے بھی نہیں

خورشید احمد جامی

جاگتے غم بھی نہیں جھومتے سائے بھی نہیں

ساتھ اپنے بھی نہیں اور پرائے بھی نہیں

سینۂ ساز میں وہ گیت سلگ اٹھے ہیں

پیار بن کر جو لب ساز پہ آئے بھی نہیں

زندگانی تو خریدار ستم ہے لیکن

تم نے بازار صلیبوں کے سجائے بھی نہیں

کچھ ارادے مرے گیتوں کی تھکن ہیں اب بھی

کچھ فسانے تری آنکھوں نے سنائے بھی نہیں

دھوپ سوچوں کے در و بام تک آ پہنچی ہے

اور ایسے میں تری یاد کے سائے بھی نہیں

آرزؤں کے امنگوں کے مزاروں پہ کہیں

غم ایام نے دو پھول چڑھائے بھی نہیں

وقت کی راہ میں انجان نظر آتے ہیں

ورنہ یہ لوگ کچھ اتنے تو پرائے بھی نہیں

دور کے دیس کی پریوں کا بھروسہ کیا تھا

ہم نے خوابوں کے نئے دیپ جلائے بھی نہیں

زندگانی کے حسیں شہر میں آ کر جامیؔ

زندگانی سے کہیں ہاتھ ملائے بھی نہیں

خورشید احمد جامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin

Khurshid Ahmad Jami

jagte gham bhi nahin jhumte sae bhi nahin
sath apne bhi nahin aur parae bhi nahin

sina-e-saz mein wo git sulag uTThe hain
pyar ban kar jo lab-e-saz pe aae bhi nahin

zindagani to KHaridar-e-sitam hai lekin
tum ne bazar salibon ke sajae bhi nahin

kuchh irade mere giton ki thakan hain ab bhi
kuchh fasane teri aaankhon ne sunae bhi nahin

dhup sochon ke dar-o-baam tak aa pahunchi hai
aur aaise mein teri yaad ke sae bhi nahin

aarzuon ke umangon ke mazaron pe kahin
gham-e-ayyam ne do phul chaDhae bhi nahin

waqt ki rah mein anjaan nazar aate hain
warna ye log kuchh itne to parae bhi nahin

dur ke des ki pariyon ka bharosa kya tha
hum ne KHwabon ke nae dip jalae bhi nahin

zindagani ke hasin shahr mein aa kar 'jami'
zindagani se kahin hath milae bhi nahin

(599) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin written by Khurshid Ahmad Jami at UrduPoint. Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin is one of the masterpieces written by Khurshid Ahmad Jami. You can also find the complete poetry collection of Khurshid Ahmad Jami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khurshid Ahmad Jami' above.

Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jagte Gham Bhi Nahin Jhumte Sae Bhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.