Tere Diwane Ne Diwar Mein Dar Khola Hai, Urdu Ghazal By Mahir Bilgrami

Tere Diwane Ne Diwar Mein Dar Khola Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahir Bilgrami. Tere Diwane Ne Diwar Mein Dar Khola Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tere Diwane Ne Diwar Mein Dar Khola Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تیرے دیوانے نے دیوار میں در کھولا ہے

ماہر بلگرامی

تیرے دیوانے نے دیوار میں در کھولا ہے

سر افلاک نیا باب قمر کھولا ہے

ڈھل گیا دن بھی وہیں رات نے ڈیرا ڈالا

تھک کے رہرو نے جہاں رخت سفر کھولا ہے

میرے چپ رہنے پہ بھی بات وہاں تک پہنچی

راز دل تو نے مگر دیدۂ تر کھولا ہے

ہم کبھی تہہ سے سمندر کے ہیں موتی لائے

کبھی پرچم سر مہ سینہ سپر کھولا ہے

در شبنم مہ و انجم ہیں کبھی جلوہ فروش

کس نے گنجینہ یہ ہر شام و سحر کھولا ہے

کوہ کن بن کے کبھی ہم نے برنگ مجنوں

عشق کا باب بہ انداز دگر کھولا ہے

حسد و حرص و ہوس ایسے کئی چور ملے

میں نے چپ چاپ کبھی اپنا جو گھر کھولا ہے

سیکڑوں خواہشوں کی ناگنیں ڈسنے کو بڑھیں

ہم نے جب بھی در گنجینۂ زر کھولا ہے

جس کو دیکھو وہی وارفتۂ منزل ہے یہاں

واہ کیا مکتبۂ فکر و نظر کھولا ہے

کس کو فرصت جو سنے تیری کہانی ماہرؔ

دفتر اک شکوؤں کا یہ تو نے مگر کھولا ہے

ماہر بلگرامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tere Diwane Ne Diwar Mein Dar Khola Hai

Mahir Bilgrami

tere diwane ne diwar mein dar khola hai
sar-e-aflak naya bab-e-qamar khola hai

Dhal gaya din bhi wahin raat ne Dera Dala
thak ke rahraw ne jahan raKHt-e-safar khola hai

mere chup rahne pe bhi baat wahan tak pahunchi
raaz-e-dil tu ne magar dida-e-tar khola hai

hum kabhi tah se samundar ke hain moti lae
kabhi parcham sar-e-mah sina-sipar khola hai

dar-e-shabnam mah-o-anjum hain kabhi jalwa-farosh
kis ne ganjina ye har sham-o-sahar khola hai

kohkan ban ke kabhi hum ne ba-rang-e-majnun
ishq ka bab ba-andaz-e-digar khola hai

hasad-o-hirs-o-hawas aise kai chor mile
main ne chup-chap kabhi apna jo ghar khola hai

saikDon KHwahishon ki naginen Dasne ko baDhin
hum ne jab bhi dar-e-ganjina-e-zar khola hai

jis ko dekho wahi warafta-e-manzil hai yahan
wah kya maktaba-e-fikr-o-nazar khola hai

kis ko fursat jo sune teri kahani 'mahir'
daftar ek shikwon ka ye tu ne magar khola hai

(370) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tere Diwane Ne Diwar Mein Dar Khola Hai written by Mahir Bilgrami at UrduPoint. Tere Diwane Ne Diwar Mein Dar Khola Hai is one of the masterpieces written by Mahir Bilgrami. You can also find the complete poetry collection of Mahir Bilgrami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahir Bilgrami' above.

Tere Diwane Ne Diwar Mein Dar Khola Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tere Diwane Ne Diwar Mein Dar Khola Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.