Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse, Urdu Ghazal By Manmohan Talkh

Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Manmohan Talkh. Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ذکر ہے درد کا اک شہر بسا ہے مجھ سے

منموہن تلخ

ذکر ہے درد کا اک شہر بسا ہے مجھ سے

اب یہ جانا کہ میرا درد بڑا ہے مجھ سے

بہت احساں ہے جو کوئی بھی ملا ہے مجھ سے

شہر کا شہر مگر جیسے خفا ہے مجھ سے

بارہا خود پہ میں حیران بہت ہوتا ہوں

کوئی ہے مجھ میں جو بالکل ہی جدا ہے مجھ سے

کٹ سے جاتے ہیں سبھی کوئی نہیں کچھ کہتا

کون سا جانے قصور ایسا ہوا ہے مجھ سے

منہ پہ کہنے تو لگے ہیں مری بستی والے

بات کرنے کا چلن کچھ تو چلا ہے مجھ سے

بات کرتے ہوئے خود سے جو گزرتا ہے کوئی

مجھ کو لگتا ہے یہ کچھ اس نے کہا ہے مجھ سے

ابھی لوٹ آئے گا مری ہی طرح کڑھتا سا

میرے ہی گھر کا پتہ پوچھ گیا ہے مجھ سے

میں نے یہ سب سے کہا تم تو کہیں کے نہ رہے

اور دیکھو کہ یہی سب نے کہا ہے مجھ سے

ہے کوئی مجھ سا کہوں کیا نہ میں جانوں نہ کچھ اور

اور میرا ہی پتہ پوچھ رہا ہے مجھ سے

تلخؔ جاتا ہی نہیں دکھ کے نگر کہتا ہے

ہے وہاں جو بھی وہ مل کر ہی گیا ہے مجھ سے

منموہن تلخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse

Manmohan Talkh

zikr hai dard ka ek shahr basa hai mujh se
ab ye jaana ki mera dard baDa hai mujh se

bahut ehsan hai jo koi bhi mila hai mujh se
shahr ka shahr magar jaise KHafa hai mujh se

bar-ha KHud pe main hairan bahut hota hun
koi hai mujh mein jo bilkul hi juda hai mujh se

kaT se jate hain sabhi koi nahin kuchh kahta
kaun sa jaane qusur aisa hua hai mujh se

munh pe kahne to lage hain meri basti wale
baat karne ka chalan kuchh to chala hai mujh se

baat karte hue KHud se jo guzarta hai koi
mujh ko lagta hai ye kuchh us ne kaha hai mujh se

abhi lauT aaega meri hi tarah kuDhta sa
mere hi ghar ka pata puchh gaya hai mujh se

main ne ye sab se kaha tum to kahin ke na rahe
aur dekho ki yahi sab ne kaha hai mujh se

hai koi mujh sa kahun kya na main jaanun na kuchh aur
aur mera hi pata puchh raha hai mujh se

'talKH' jata hi nahin dukh ke nagar kahta hai
hai wahan jo bhi wo mil kar hi gaya hai mujh se

(571) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse written by Manmohan Talkh at UrduPoint. Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse is one of the masterpieces written by Manmohan Talkh. You can also find the complete poetry collection of Manmohan Talkh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Manmohan Talkh' above.

Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.