Na UlTi Usne Mahfil Mein Naqab Awwal Se AaKHir Tak, Urdu Ghazal By Manohar Sahaye Anwar

Na UlTi Usne Mahfil Mein Naqab Awwal Se AaKHir Tak is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Manohar Sahaye Anwar. Na UlTi Usne Mahfil Mein Naqab Awwal Se AaKHir Tak comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na UlTi Usne Mahfil Mein Naqab Awwal Se AaKHir Tak on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ الٹی اس نے محفل میں نقاب اول سے آخر تک

منوہر سہائے انور

نہ الٹی اس نے محفل میں نقاب اول سے آخر تک

رہی پھر بھی تجلیٔ برق تاب اول سے آخر تک

اٹھاتا ہوں نظر جب جانب افلاک مستی میں

تو اٹھ جاتے ہیں یہ ساتوں حجاب اول سے آخر تک

وہ آئیں گے نہیں آئے خط آئے گا نہیں آیا

غلط نکلی مری تعبیر خواب اول سے آخر تک

ہوئی ہر بار میری باریوں پر بھول ساقی کو

مجھے خالی دیا جام شراب اول سے آخر تک

گنو دونوں طرح اپنے مظالم ٹھیک نکلے گا

شمار آخر سے اول تک حساب اول سے آخر تک

جو قصہ ہے شگاف سینۂ خود‌ چاک کے لب پر

بگوش چشم سن لیں آنجناب اول سے آخر تک

کہیں عمر رواں دم بھر ٹھہرنے کو نہیں رکتی

رہا کرتی ہے یہ پا در‌‌ رکاب اول سے آخر تک

کتاب عشق پڑھنی چاہیے تجھ کو بھی اے ناصح

بڑا دلچسپ ہے ایک ایک باب اول سے آخر تک

شب سرد زمستاں کی طرح افسردہ افسردہ

گزرتا ہے غریبوں کا شباب اول سے آخر تک

گلوں کے درمیاں شور فغاں کرتی رہی بلبل

نہ چونکا ایک بھی غفلت مآب اول سے آخر تک

کنارے پار کر کے سست ہو جاتا ہے دریا بھی

کسے رہتا ہے یکساں اضطراب اول سے آخر تک

بہت جھڑکا بہت ڈانٹا بہت تنبیہ کی مجھ کو

بہت پر لطف تھا ان کا خطاب اول سے آخر تک

گناہوں ہی گناہوں میں کٹی ہے زندگی میری

یہی میں نے کمائے ہیں ثواب اول سے آخر تک

تعجب ہے کہ میں جاں سوختہ زندہ رہا کیوں کر

جدائی تھی جہنم کا عذاب اول سے آخر تک

یہ اچھا ہی ہوا ہم کامیاب قرب ہونے میں

بہ ہر صورت رہے نا کامیاب اول سے آخر تک

حیات افروز تھی ان کی جوانی جن شہیدوں نے

لگائے نعرہ ہائے انقلاب اول سے آخر تک

جسے بے مثل انداز سخن ہو دیکھنا انورؔ

پڑھے میرا کلام لا جواب اول سے آخر تک

منوہر سہائے انور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na UlTi Usne Mahfil Mein Naqab Awwal Se AaKHir Tak

Manohar Sahaye Anwar

na ulTi us ne mahfil mein naqab awwal se aaKHir tak
rahi phir bhi tajalli-e-barq-e-tab awwal se aaKHir tak

uThata hun nazar jab jaanib-e-aflak masti mein
to uTh jate hain ye saton hijab awwal se aaKHir tak

wo aaenge nahin aae KHat aaega nahin aaya
ghalat nikli meri tabir-e-KHwab awwal se aaKHir tak

hui har bar meri bariyon par bhul saqi ko
mujhe KHali diya jam-e-sharab awwal se aaKHir tak

gino donon tarah apne mazalim Thik niklega
shumar aaKHir se awwal tak hisab awwal se aaKHir tak

jo qisse hai shigaf-e-sina-e-KHud-chaak ke lab par
ba-gosh-e-chashm sun len aan-janab awwal se aaKHir tak

kahin umr-e-rawan dam-bhar Thaharne ko nahin rukti
raha karti hai ye pa dar-rikab awwal se aaKHir tak

kitab-e-ishq paDhni chahiye tujh ko bhi ai naseh
baDa dilchasp hai ek ek bab awwal se aaKHir tak

shab-e-sard-e-zamistan ki tarah afsurda afsurda
guzarta hai gharibon ka shabab awwal se aaKHir tak

gulon ke darmiyan shor-e-fughan karti rahi bulbul
na chaunka ek bhi ghaflat maab awwal se aaKHir tak

kinare par kar ke sust ho jata hai dariya bhi
kise rahta hai yaksan iztirab awwal se aaKHir tak

bahut jhiDka bahut DanTa bahut tambih ki mujh ko
bahut pur-lutf tha un ka KHitab awwal se aaKHir tak

gunahon hi gunahon mein kaTi hai zindagi meri
yahi main ne kamae hain sawab awwal se aaKHir tak

tajjub hai ki main jaan-soKHta zinda raha kyun kar
judai thi jahannum ka azab awwal se aaKHir tak

ye achchha hi hua hum kaamyab qurb hone mein
ba-har-surat rahe na-kaamyab awwal se aaKHir tak

hayat-afroz thi un ki jawani jin shahidon ne
lagae nara-ha-e-inqalab awwal se aaKHir tak

jise be-misl andaz-e-suKHan ho dekhna 'anwar'
paDhe mera kalam-e-la-jawab awwal se aaKHir tak

(607) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na UlTi Usne Mahfil Mein Naqab Awwal Se AaKHir Tak written by Manohar Sahaye Anwar at UrduPoint. Na UlTi Usne Mahfil Mein Naqab Awwal Se AaKHir Tak is one of the masterpieces written by Manohar Sahaye Anwar. You can also find the complete poetry collection of Manohar Sahaye Anwar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Manohar Sahaye Anwar' above.

Na UlTi Usne Mahfil Mein Naqab Awwal Se AaKHir Tak is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na UlTi Usne Mahfil Mein Naqab Awwal Se AaKHir Tak, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.