Jafa Wo Karte Rahe Aise Bewafa Ki Tarah, Urdu Ghazal By Minhaj Naqeeb

Jafa Wo Karte Rahe Aise Bewafa Ki Tarah is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Minhaj Naqeeb. Jafa Wo Karte Rahe Aise Bewafa Ki Tarah comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jafa Wo Karte Rahe Aise Bewafa Ki Tarah on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جفا وہ کرتے رہے ایسے بے وفا کی طرح

منہاج نقیب

جفا وہ کرتے رہے ایسے بے وفا کی طرح

گلہ بھی کر نہ سکا میں کبھی گلہ کی طرح

وہ سنگ دل ہے ستم گر ہے بے مروت ہے

جو غم کا حال سنے صرف واقعہ کی طرح

کسی کے بچنے کا امکاں نظر نہیں آتا

فضا میں زہر ہے پھیلا ہوا ہوا کی طرح

میں شاید اوب چکا ہوں حیات سے اپنی

مجھے حیات بھی لگتی ہے اب قضا کی طرح

کسی کو ڈس لیں تو پانی نہ پی سکے یارو

ہیں ایسے لوگ یہاں ناگ دیوتا کی طرح

وہ اپنا جرم چھپانے کو شمر بن بیٹھے

ہمارا شہر بھی لگتا ہے کربلا کی طرح

تمہارا حسن و شباب ان دنوں معاذ اللہ

نظر جماؤں تو چھانے لگے نشہ کی طرح

چمن کو پھول تو پھولوں کو چاہئے خوشبو

ہر ایک شے ہے یہاں دوستو گدا کی طرح

نقیبؔ اب کوئی پہچان ہی نہیں اپنی

یہاں تو چھا گئی تہذیب نو بلا کی طرح

منہاج نقیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jafa Wo Karte Rahe Aise Bewafa Ki Tarah

Minhaj Naqeeb

jafa wo karte rahe aise bewafa ki tarah
gila bhi kar na saka main kabhi gila ki tarah

wo sang-dil hai sitamgar hai be-murawwat hai
jo gham ka haal sune sirf waqia ki tarah

kisi ke bachne ka imkan nazar nahin aata
faza mein zahr hai phaila hua hawa ki tarah

main shayad ub chuka hun hayat se apni
mujhe hayat bhi lagti hai ab qaza ki tarah

kisi ko Das len to pani na pi sake yaro
hain aise log yahan nag dewta ki tarah

wo apna jurm chhupane ko shimr ban baiThe
hamara shahr bhi lagta hai karbala ki tarah

tumhaara husn-o-shabab in dinon maaz-allah
nazar jamaun to chhane lage nasha ki tarah

chaman ko phul to phulon ko chahiye KHushbu
har ek shai hai yahan dosto gada ki tarah

'naqib' ab koi pahchan hi nahin apni
yahan to chha gai tahzib-e-nau bala ki tarah

(616) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jafa Wo Karte Rahe Aise Bewafa Ki Tarah written by Minhaj Naqeeb at UrduPoint. Jafa Wo Karte Rahe Aise Bewafa Ki Tarah is one of the masterpieces written by Minhaj Naqeeb. You can also find the complete poetry collection of Minhaj Naqeeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Minhaj Naqeeb' above.

Jafa Wo Karte Rahe Aise Bewafa Ki Tarah is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jafa Wo Karte Rahe Aise Bewafa Ki Tarah, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.