Barf-bari Mein, Urdu Nazam By Mohammad Anvar Khalid

Barf-bari Mein is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Mohammad Anvar Khalid. Barf-bari Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Barf-bari Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

برف باری میں

محمد انور خالد

جہاں لکڑی کی میزوں اور ننگی کرسیوں میں

شہ بلوطی گردنوں کا خم نظر آئے

وہاں جھکنا عبادت ہے

میں ننگے پاؤں باہر آ گیا تھا برف باری میں

مری کھڑکی کے نیچے چاندنی سے بھی زیادہ چاندنی تھی

جب ہوا پاگل ہوئی

اور تم نے چہرہ موڑ کر سونے کی کوشش کی

ہوا سنتی نہیں ہے

ہوا جب بھی چلے گی کھڑکیوں پر ضرب آئے گی

کوئی آواز بھی ہوگی

چلو ایسا کرو سو لو

تم اپنی نیند دو دن کے لیے محفوظ کر لو

برف باری میں رفاقت کی ہر اک صورت عبادت ہے

محمد انور خالد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Barf-bari Mein

Mohammad Anvar Khalid

jahan lakDi ki mezon aur nangi kursiyon mein
shah-e-baluti gardanon ka KHam nazar aae
wahan jhukna ibaadat hai
main nange panw bahar aa gaya tha barf-bari mein
meri khiDki ke niche chandni se bhi ziyaada chandni thi
jab hawa pagal hui
aur tum ne chehra moD kar sone ki koshish ki
hawa sunti nahin hai
hawa jab bhi chalegi khiDkiyon par zarb aaegi
koi aawaz bhi hogi
chalo aisa karo so lo
tum apni nind do din ke liye mahfuz kar lo
barf-bari mein rifaqat ki har ek surat ibaadat hai

(385) ووٹ وصول ہوئے

You can read Barf-bari Mein written by Mohammad Anvar Khalid at UrduPoint. Barf-bari Mein is one of the masterpieces written by Mohammad Anvar Khalid. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Anvar Khalid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Anvar Khalid' above.

Barf-bari Mein is a widely read Urdu Nazam. If you like Barf-bari Mein, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.