Zindagi Se Jo Wasta Rakhiye, Urdu Ghazal By Mohammad Haneef Shabab

Zindagi Se Jo Wasta Rakhiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Haneef Shabab. Zindagi Se Jo Wasta Rakhiye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zindagi Se Jo Wasta Rakhiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زندگی سے جو واسطہ رکھئے

محمد حنیف شباب

زندگی سے جو واسطہ رکھئے

مر کے جینے کا حوصلہ رکھئے

ملنے جلنے کا سلسلہ رکھئے

یوں نہ اپنوں سے فاصلہ رکھئے

اس کے در تک فقط جو لے جائے

ایک ایسا بھی راستہ رکھئے

شہر دل کے ہمیں ہیں شہزادے

کچھ تو ہم سے بھی رابطہ رکھئے

وصل کی آس تو ہے نازک شے

جیسے پانی کا بلبلہ رکھئے

دل کی دھڑکن سے مات کھانی ہے

یار لوگوں سے کیا گلہ رکھئے

حق پرستی کے ساتھ نظروں میں

کربلا کا بھی معرکہ رکھئے

محمد حنیف شباب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zindagi Se Jo Wasta Rakhiye

Mohammad Haneef Shabab

zindagi se jo wasta rakhiye
mar ke jine ka hausla rakhiye

milne-julne ka silsila rakhiye
yun na apnon se fasla rakhiye

us ke dar tak faqat jo le jae
ek aisa bhi rasta rakhiye

shahr-e-dil ke hamin hain shahzade
kuchh to hum se bhi rabta rakhiye

wasl ki aas to hai nazuk shai
jaise pani ka bulbula rakhiye

dil ki dhaDkan se mat khani hai
yar logon se kya gila rakhiye

haq-parasti ke sath nazron mein
karbala ka bhi marka rakhiye

(400) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zindagi Se Jo Wasta Rakhiye written by Mohammad Haneef Shabab at UrduPoint. Zindagi Se Jo Wasta Rakhiye is one of the masterpieces written by Mohammad Haneef Shabab. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Haneef Shabab by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Haneef Shabab' above.

Zindagi Se Jo Wasta Rakhiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zindagi Se Jo Wasta Rakhiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.