Main Apne Ijz-e-zat Ka Izhaar Ho Gaya, Urdu Ghazal By Mohammad Kaleem Ziya

Main Apne Ijz-e-zat Ka Izhaar Ho Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Kaleem Ziya. Main Apne Ijz-e-zat Ka Izhaar Ho Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Apne Ijz-e-zat Ka Izhaar Ho Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں اپنے عجز ذات کا اظہار ہو گیا

محمد کلیم ضیا

میں اپنے عجز ذات کا اظہار ہو گیا

گم کردہ راہ منزل دشوار ہو گیا

کل تک تھا ایک پھول مہکتا ہوا مگر

ایسی چلیں ہوائیں کہ میں خار ہو گیا

بے سود ہو گئی ہیں صلہ رحمیاں تمام

خود اپنے حق میں آج میں تلوار ہو گیا

چہرہ چھپائے پھرتا ہوں خود اپنے آپ سے

میں جو تری نظر میں گنہ گار ہو گیا

اب اور دے فریب نہ اے گردش جہاں

خود کو سنبھال نیند سے بے دار ہو گیا

محسوس ہو رہی ہے تمہاری کمی ضیاؔ

تم سے ملے زمانہ مرے یار ہو گیا

محمد کلیم ضیا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Apne Ijz-e-zat Ka Izhaar Ho Gaya

Mohammad Kaleem Ziya

main apne ijz-e-zat ka izhaar ho gaya
gum-karda-rah-e-manzil-e-dushwar ho gaya

kal tak tha ek phul mahakta hua magar
aisi chalin hawaen ki main KHar ho gaya

be-sud ho gai hain sila-rahmiyan tamam
KHud apne haq mein aaj main talwar ho gaya

chehra chhupae phirta hun KHud apne aap se
main jo teri nazar mein gunahgar ho gaya

ab aur de fareb na ai gardish-e-jahan
KHud ko sanbhaal nind se bedar ho gaya

mahsus ho rahi hai tumhaari kami 'ziya'
tum se mile zamana mere yar ho gaya

(439) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Apne Ijz-e-zat Ka Izhaar Ho Gaya written by Mohammad Kaleem Ziya at UrduPoint. Main Apne Ijz-e-zat Ka Izhaar Ho Gaya is one of the masterpieces written by Mohammad Kaleem Ziya. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Kaleem Ziya by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Kaleem Ziya' above.

Main Apne Ijz-e-zat Ka Izhaar Ho Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Apne Ijz-e-zat Ka Izhaar Ho Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.