Kamal-e-ishq Mein Soz-e-nihan Baqi Nahin Rahta, Urdu Ghazal By Mohammad Usmaan Arif

Kamal-e-ishq Mein Soz-e-nihan Baqi Nahin Rahta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Usmaan Arif. Kamal-e-ishq Mein Soz-e-nihan Baqi Nahin Rahta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kamal-e-ishq Mein Soz-e-nihan Baqi Nahin Rahta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کمال عشق میں سوز نہاں باقی نہیں رہتا

محمد عثمان عارف

کمال عشق میں سوز نہاں باقی نہیں رہتا

بھڑک جاتے ہیں جب شعلے دھواں باقی نہیں رہتا

جبیں تو پھر جبیں ہے آستاں باقی نہیں رہتا

جہاں تم ہو کسی کا بھی نشاں باقی نہیں رہتا

تمہیں دیکھوں تو کیا دیکھوں تمہیں سمجھوں کو کیا سمجھوں

محبت میں تو اپنا بھی گماں باقی نہیں رہتا

انہیں سے پوچھئے یہ ان کے دل پر کیا گزرتی ہے

بہاروں میں بھی جن کا آشیاں باقی نہیں رہتا

کبھی یاد ان کی آئی ہے کبھی وہ خود بھی آتے ہیں

محبت میں حجاب درمیاں باقی نہیں رہتا

محبت راس آتی ہے تو چھا جاتی ہے دنیا پر

بگڑتی ہے تو پھر نام و نشاں باقی نہیں رہتا

خزاں میں لالہ و گل کا بھرم بھی کھل ہی جاتا ہے

ہمیشہ تو فریب گلستاں باقی نہیں رہتا

اسی منزل میں آتے ہیں کہیں دیر و حرم عارفؔ

حریم دل سے بچ کر آستاں باقی نہیں رہتا

محمد عثمان عارف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kamal-e-ishq Mein Soz-e-nihan Baqi Nahin Rahta

Mohammad Usmaan Arif

kamal-e-ishq mein soz-e-nihan baqi nahin rahta
bhaDak jate hain jab shoale dhuan baqi nahin rahta

jabin to phir jabin hai aastan baqi nahin rahta
jahan tum ho kisi ka bhi nishan baqi nahin rahta

tumhein dekhun to kya dekhun tumhein samjhun ko kya samjhun
mohabbat mein to apna bhi guman baqi nahin rahta

unhin se puchhiye ye un ke dil par kya guzarti hai
bahaaron mein bhi jin ka aashiyan baqi nahin rahta

kabhi yaad un ki aai hai kabhi wo KHud bhi aate hain
mohabbat mein hijab-e-darmiyan baqi nahin rahta

mohabbat ras aati hai to chha jati hai duniya par
bigaDti hai to phir nam-o-nishan baqi nahin rahta

KHizan mein lala-o-gul ka bharam bhi khul hi jata hai
hamesha to fareb-e-gulistan baqi nahin rahta

usi manzil mein aate hain kahin dair-o-haram 'arif'
harim-e-dil se bach kar aastan baqi nahin rahta

(599) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kamal-e-ishq Mein Soz-e-nihan Baqi Nahin Rahta written by Mohammad Usmaan Arif at UrduPoint. Kamal-e-ishq Mein Soz-e-nihan Baqi Nahin Rahta is one of the masterpieces written by Mohammad Usmaan Arif. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Usmaan Arif by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Usmaan Arif' above.

Kamal-e-ishq Mein Soz-e-nihan Baqi Nahin Rahta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kamal-e-ishq Mein Soz-e-nihan Baqi Nahin Rahta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.