Ye Mohabbat Ka Sila Tha Ishq Ka Anjam Tha, Urdu Ghazal By Mohammad Usmaan Arif

Ye Mohabbat Ka Sila Tha Ishq Ka Anjam Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Usmaan Arif. Ye Mohabbat Ka Sila Tha Ishq Ka Anjam Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Mohabbat Ka Sila Tha Ishq Ka Anjam Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ محبت کا صلہ تھا عشق کا انجام تھا

محمد عثمان عارف

یہ محبت کا صلہ تھا عشق کا انجام تھا

پھول کا ہنسنا ہی اس کی موت کا پیغام تھا

غم نہ دیتے آپ تو راحت سے کس کو کام تھا

زندگی کی گردشوں کے ساتھ دور جام تھا

ٹھوکریں کھاتے گئے لب پر تمہارا نام تھا

حشر کا منظر تھا راہ عشق میں جو گام تھا

آپ کیوں آنسو بہائیں میرے حال زار پر

عشق کا نکلا وہی انجام جو انجام تھا

بن گیا ہر سانس قاتل رنج ہے تو بس یہی

زندگی نے مار ڈالا موت پر الزام تھا

تھا تمہارے سامنے بے کیف رنگ گلستاں

دیدۂ نرگس تو کہنے کو چھلکتا جام تھا

دیکھنے والے کہیں گے میری بربادی کا حال

آشیانہ جل رہا تھا میں اسیر دام تھا

گریۂ شبنم سے آتی ہے گلوں میں تازگی

میرا رونا بھی کسی کے عیش کا پیغام تھا

برق کے کیا ہاتھ آیا کیا ملا صیاد کو

چار تنکوں کے نہ رہنے سے چمن بدنام تھا

جلنے والا ہی سمجھ سکتا ہے دل کی آگ کو

ہجر میں عارفؔ مرا ہمدم چراغ شام تھا

محمد عثمان عارف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Mohabbat Ka Sila Tha Ishq Ka Anjam Tha

Mohammad Usmaan Arif

ye mohabbat ka sila tha ishq ka anjam tha
phul ka hansna hi us ki maut ka paigham tha

gham na dete aap to rahat se kis ko kaam tha
zindagi ki gardishon ke sath daur-e-jam tha

Thokaren khate gae lab par tumhaara nam tha
hashr ka manzar tha rah-e-ishq mein jo gam tha

aap kyun aansu bahaen mere haal-e-zar par
ishq ka nikla wahi anjam jo anjam tha

ban gaya har sans qatil ranj hai to bas yahi
zindagi ne mar Dala maut par ilzam tha

tha tumhaare samne be-kaif rang-e-gulistan
dida-e-nargis to kahne ko chhalakta jam tha

dekhne wale kahenge meri barbaadi ka haal
aashiyana jal raha tha main asir-e-dam tha

girya-e-shabnam se aati hai gulon mein tazgi
mera rona bhi kisi ke aish ka paigham tha

barq ke kya hath aaya kya mila sayyaad ko
chaar tinkon ke na rahne se chaman badnam tha

jalne wala hi samajh sakta hai dil ki aag ko
hijr mein 'arif' mera hamdam charagh-e-sham tha

(708) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ye Mohabbat Ka Sila Tha Ishq Ka Anjam Tha written by Mohammad Usmaan Arif at UrduPoint. Ye Mohabbat Ka Sila Tha Ishq Ka Anjam Tha is one of the masterpieces written by Mohammad Usmaan Arif. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Usmaan Arif by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Usmaan Arif' above.

Ye Mohabbat Ka Sila Tha Ishq Ka Anjam Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Mohabbat Ka Sila Tha Ishq Ka Anjam Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.