Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein, Urdu Ghazal By Mohammad Wilayatullah

Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Wilayatullah. Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر وقت الجھتا ہے یہ دل زلف دوتا میں

محمد ولایت اللہ

ہر وقت الجھتا ہے یہ دل زلف دوتا میں

سمجھاتا ہوں کم بخت نہ پڑ جا کے بلا میں

دیکھو نہ کبھی خوئے ستم اپنی بدلنا

ملتا ہے مزا ہم کو بہت جور و جفا میں

کس لطف سے ایام گزرتے ہیں ہمارے

دن نالہ و فریاد میں شب آہ و بکا میں

مٹی ہوئی برباد ترے عشق میں ایسی

کچھ خاک کے ذرے نظر آتے ہیں ہوا میں

کیوں چل دئے مے خانہ سے اے شیخ ٹھہرنا

پوشیدہ نظر آتا ہے کچھ آج عبا میں

کہتی ہے یہ توبہ کہ گناہ گار میں بہتر

اے دل کبھی بھولے سے بھی پڑنا نہ ریا میں

کر دوں شب فرقت کا بیاں حشر میں لیکن

ڈرتا ہوں طوالت نہ پڑے روز جزا میں

مرنا جسے کہتے ہیں وہ ہے زیست کا آغاز

ملتی ہے بقا سب کو اسی راہ فنا میں

کس کے لئے اللہ نے جنت کو بنایا

بندے تو یہاں رہتے ہیں ہر وقت خطا میں

مقبول ہوئی حشر میں گر میری خجالت

مل جائے گی جنت بھی گناہوں کی سزا میں

واعظ کہے کچھ بھی ہمیں معلوم ہے یا رب

سو خلد ہیں پوشیدہ تری ایک رضا میں

ہل جاتی ہے دنیا مری فریاد سے حافظؔ

تاثیر غضب کی ہے مری آہ رسا میں

محمد ولایت اللہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein

Mohammad Wilayatullah

har-waqt ulajhta hai ye dil zulf-e-dota mein
samjhata hun kam-baKHt na paD ja ke bala mein

dekho na kabhi KHu-e-sitam apni badalna
milta hai maza hum ko bahut jaur-o-jafa mein

kis lutf se ayyam guzarte hain hamare
din nala-o-fariyaad mein shab aah-o-baka mein

miTTi hui barbaad tere ishq mein aisi
kuchh KHak ke zarre nazar aate hain hawa mein

kyun chal diye mai-KHane se ai shaiKH Thaharna
poshida nazar aata hai kuchh aaj aba mein

kahti hai ye tauba ki gunahgar main behtar
ai dil kabhi bhule se bhi paDna na riya mein

kar dun shab-e-furqat ka bayan hashr mein lekin
Darta hun tawalat na paDe roz-e-jaza mein

marna jise kahte hain wo hai zist ka aaghaz
milti hai baqa sab ko isi rah-e-fana mein

kis ke liye allah ne jannat ko banaya
bande to yahan rahte hain har waqt KHata mein

maqbul hui hashr mein gar meri KHajalat
mil jaegi jannat bhi gunahon ki saza mein

waiz kahe kuchh bhi hamein malum hai yarab
sau KHuld hain poshida teri ek raza mein

hil jati hai duniya meri fariyaad se 'hafiz'
tasir ghazab ki hai meri aah-e-rasa mein

(368) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein written by Mohammad Wilayatullah at UrduPoint. Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein is one of the masterpieces written by Mohammad Wilayatullah. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Wilayatullah by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Wilayatullah' above.

Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har-waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-e-dota Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.