Hamari Aaj-kal Himmat Faqat Aah-o-fughan Tak Hai, Urdu Ghazal By Mohammad Wilayatullah

Hamari Aaj-kal Himmat Faqat Aah-o-fughan Tak Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Wilayatullah. Hamari Aaj-kal Himmat Faqat Aah-o-fughan Tak Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hamari Aaj-kal Himmat Faqat Aah-o-fughan Tak Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہماری آج کل ہمت فقط آہ و فغاں تک ہے

محمد ولایت اللہ

ہماری آج کل ہمت فقط آہ و فغاں تک ہے

دل بیتاب کاکل جوش بس اس کے بیاں تک ہے

قدم رکھا جو میدان عمل میں ٹھوکریں کھائیں

ہمارے حوصلوں کی شان بس دل سے زباں تک ہے

الٰہی پھر نہ ہوگا آبرو برق و‌ رعد گلشن میں

مصیبت اس جگہ کیا صرف میرے آشیاں تک ہے

کبھی اک دن خدارا سرگزشت عاشقاں سن لو

کہ ان کا نام باقی اب فقط اس داستاں تک ہے

تعجب ہے نظر آتا نہیں تجھ کو ستم اپنا

ترے در پر ابھی باقی مرے خوں کا نشاں تک ہے

جفا اور ظلم کی فریاد لے کر ہم کہاں جائیں

رسائی غیر ممکن تیرے سنگ آستاں تک ہے

ترا ظلم و ستم تجھ کو نہیں معلوم اے ظالم

تری بیداد کا اک شور سقف آسماں تک ہے

چلیں گے کام اس دنیا کے میرے بعد بھی لیکن

تری محفل کی یہ رونق فقط مجھ خستہ جاں تک ہے

خزاں جائے گی جس دن پھر وہی جوش جنوں ہوگا

خموشی باغ عالم میں مرے خواب گراں تک ہے

عدد سے کہہ دو جب چاہے ہمارا امتحاں کر لے

ہمیں بھی دیکھنا ہے حوصلہ اس کا کہاں تک ہے

ہماری حق پرستی کی مثال ایسی ہے اے حافظؔ

رہے گا ذکر باقی یہ جہاں جب تک جہاں تک ہے

محمد ولایت اللہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hamari Aaj-kal Himmat Faqat Aah-o-fughan Tak Hai

Mohammad Wilayatullah

hamari aaj-kal himmat faqat aah-o-fughan tak hai
dil-e-betab kakul josh bas is ke bayan tak hai

qadam rakkha jo maidan-e-amal mein Thokaren khain
hamare hauslon ki shan bas dil se zaban tak hai

ilahi phir na hoga abr-barq-o-rad gulshan mein
musibat is jagah kya sirf mere aashiyan tak hai

kabhi ek din KHudara sarguzisht-e-ashiqan sun lo
ki un ka nam baqi ab faqat is dastan tak hai

tajjub hai nazar aata nahin tujh ko sitam apna
tere dar par abhi baqi mere KHun ka nishan tak hai

jafa aur zulm ki fariyaad le kar hum kahan jaen
rasai ghair mumkin tere sang-e-astan tak hai

tera zulm-o-sitam tujh ko nahin malum ai zalim
teri bedad ka ek shor saqf-e-asman tak hai

chalenge kaam is duniya ke mere baad bhi lekin
teri mahfil ki ye raunaq faqat mujh KHasta-jaan tak hai

KHizan jaegi jis din phir wahi josh-e-junun hoga
KHamoshi bagh-e-alam mein mere KHwab-e-giran tak hai

adad se kah do jab chahe hamara imtihan kar le
hamein bhi dekhna hai hausla us ka kahan tak hai

hamari haq-parasti ki misal aisi hai ai 'hafiz'
rahega zikr baqi ye jahan jab tak jahan tak hai

(364) ووٹ وصول ہوئے

You can read Hamari Aaj-kal Himmat Faqat Aah-o-fughan Tak Hai written by Mohammad Wilayatullah at UrduPoint. Hamari Aaj-kal Himmat Faqat Aah-o-fughan Tak Hai is one of the masterpieces written by Mohammad Wilayatullah. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Wilayatullah by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Wilayatullah' above.

Hamari Aaj-kal Himmat Faqat Aah-o-fughan Tak Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hamari Aaj-kal Himmat Faqat Aah-o-fughan Tak Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.