Hai Ajib Rishta-e-gum-shuda Ki Jise KhanDar Ne Bhula Diya, Urdu Ghazal By Moid Rashidi

Hai Ajib Rishta-e-gum-shuda Ki Jise KhanDar Ne Bhula Diya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Moid Rashidi. Hai Ajib Rishta-e-gum-shuda Ki Jise KhanDar Ne Bhula Diya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hai Ajib Rishta-e-gum-shuda Ki Jise KhanDar Ne Bhula Diya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے عجیب رشتۂ گم شدہ کہ جسے کھنڈر نے بھلا دیا

معید رشیدی

ہے عجیب رشتۂ گم شدہ کہ جسے کھنڈر نے بھلا دیا

کہیں زندگی ہوئی خیمہ زن کہیں بام و در نے بھلا دیا

کسے بھولنا تھا نصیب میں کسے بھولنے کا تھا فیصلہ

کسے یاد رکھنا تھا عمر بھر کسے چشم تر نے بھلا دیا

وہ جو بے نشان سے لوگ تھے وہی منزلوں کا نشاں ہوئے

جسے رہ گزر کی خبر ہوئی اسے رہ گزر نے بھلا دیا

وہ ضرورتوں کا ملال تھا تو یہ ہجرتوں کا سوال ہے

وہ جو اپنی مٹی سے کٹ گئے انہیں کس سفر نے بھلا دیا

تھی جو آگ دل میں لگی ہوئی وہ بھی رفتہ رفتہ دھواں ہوئی

تھا جو لمس ماضی و حال کا اسے فتنہ گر نے بھلا دیا

جو رقم ہوئی سر داستاں پس داستاں بھی نہیں ہوئی

تھا جو رمز حرف کمال کا وہ فسانہ گر نے بھلا دیا

معید رشیدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Ajib Rishta-e-gum-shuda Ki Jise KhanDar Ne Bhula Diya

Moid Rashidi

hai ajib rishta-e-gum-shuda ki jise khanDar ne bhula diya
kahin zindagi hui KHema-zan kahin baam-o-dar ne bhula diya

kise bhulna tha nasib mein kise bhulne ka tha faisla
kise yaad rakhna tha umr bhar kise chashm-e-tar ne bhula diya

wo jo be-nishan se log the wahi manzilon ka nishan hue
jise rahguzar ki KHabar hui use rahguzar ne bhula diya

wo zaruraton ka malal tha to ye hijraton ka sawal hai
wo jo apni miTTi se kaT gae unhen kis safar ne bhula diya

thi jo aag dil mein lagi hui wo bhi rafta rafta dhuan hui
tha jo lams mazi-o-haal ka use fitna-gar ne bhula diya

jo raqam hui sar-e-dastan pas-e-dastan bhi nahin hui
tha jo ramz harf-e-kamal ka wo fasana-gar ne bhula diya

(460) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Ajib Rishta-e-gum-shuda Ki Jise KhanDar Ne Bhula Diya written by Moid Rashidi at UrduPoint. Hai Ajib Rishta-e-gum-shuda Ki Jise KhanDar Ne Bhula Diya is one of the masterpieces written by Moid Rashidi. You can also find the complete poetry collection of Moid Rashidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Moid Rashidi' above.

Hai Ajib Rishta-e-gum-shuda Ki Jise KhanDar Ne Bhula Diya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Ajib Rishta-e-gum-shuda Ki Jise KhanDar Ne Bhula Diya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.