Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main, Urdu Ghazal By Muhammad Ayyub Zauqi

Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muhammad Ayyub Zauqi. Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جنوں میں مشق تصور بڑھا رہا ہوں میں

محمد ایوب ذوقی

جنوں میں مشق تصور بڑھا رہا ہوں میں

وہ پاس آئے تو اب دور جا رہا ہوں میں

فضائے گلشن ہستی پہ چھا رہا ہوں میں

ترے کرم کا کرشمہ دکھا رہا ہوں میں

وہ چار تنکے جنہیں برق بھی جلا نہ سکے

انہیں سے اپنا نشیمن بنا رہا ہوں میں

ہے آدمی کا مقدر خود اس کے ہاتھوں میں

کچھ اس فریب میں بھی مبتلا رہا ہوں میں

ابھر رہے ہیں فسانے حقیقتیں بن کر

حقیقتوں کو فسانے بنا رہا ہوں میں

کچھ اور قصۂ دار و رسن سنا واعظ

کہ اس خیال سے تسکین پا رہا ہوں میں

وہ اک نظر کہ جسے جان مدعا کہیے

اسی نظر کو تری ڈھونڈھتا رہا ہوں میں

نہیں ہوں مصلحت اندیش حق بیانی میں

یہی ہے جرم سزا جس کی پا رہا ہوں میں

سمجھ چکا ہوں حقیقت حیات فانی کی

وفور غم میں بھی اب مسکرا رہا ہوں میں

کمال فیض محبت نہیں تو پھر کیا ہے

کہ ذرے ذرے میں اب ان کو پا رہا ہوں میں

انہیں بایں خرد و ہوش پا سکا نہ کبھی

متاع ہوش و خرد کھو کے پا رہا ہوں میں

رہ مجاز و حقیقت کے موڑ پر ذوقیؔ

کھڑا ہوا ہوں مگر لڑکھڑا رہا ہوں میں

محمد ایوب ذوقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main

Muhammad Ayyub Zauqi

junun mein mashq-e-tasawwur baDha raha hun main
wo pas aae to ab dur ja raha hun main

faza-e-gulshan-e-hasti pe chha raha hun main
tere karam ka karishma dikha raha hun main

wo chaar tinke jinhen barq bhi jala na sake
inhin se apna nasheman bana raha hun main

hai aadmi ka muqaddar KHud us ke hathon mein
kuchh is fareb mein bhi mubtala raha hun main

ubhar rahe hain fasane haqiqaten ban kar
haqiqaton ko fasane bana raha hun main

kuchh aur qissa-e-dar-o-rasan suna waiz
ki is KHayal se taskin pa raha hun main

wo ek nazar ki jise jaan-e-muddaa kahiye
usi nazar ko teri DhunDhta raha hun main

nahin hun maslahat-andesh haq-bayani mein
yahi hai jurm saza jis ki pa raha hun main

samajh chuka hun haqiqat hayat-e-fani ki
wufur-e-gham mein bhi ab muskura raha hun main

kamal-e-faiz-e-mohabbat nahin to phir kya hai
ki zarre zarre mein ab un ko pa raha hun main

unhen ba-in KHirad-o-hosh pa saka na kabhi
mata-e-hosh-o-KHirad kho ke pa raha hun main

rah-e-majaz-o-haqiqat ke moD par 'zauqi'
khaDa hua hun magar laDkhaDa raha hun main

(613) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main written by Muhammad Ayyub Zauqi at UrduPoint. Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main is one of the masterpieces written by Muhammad Ayyub Zauqi. You can also find the complete poetry collection of Muhammad Ayyub Zauqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muhammad Ayyub Zauqi' above.

Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Junun Mein Mashq-e-tasawwur BaDha Raha Hun Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.