Nigah-e-fitrat Mein Dar-haqiqat Wo Zindagi Zindagi Nahin Hai, Urdu Ghazal By Muhammad Ayyub Zauqi

Nigah-e-fitrat Mein Dar-haqiqat Wo Zindagi Zindagi Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muhammad Ayyub Zauqi. Nigah-e-fitrat Mein Dar-haqiqat Wo Zindagi Zindagi Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nigah-e-fitrat Mein Dar-haqiqat Wo Zindagi Zindagi Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نگاہ فطرت میں در حقیقت وہ زندگی زندگی نہیں ہے

محمد ایوب ذوقی

نگاہ فطرت میں در حقیقت وہ زندگی زندگی نہیں ہے

جو دوسروں کے نہ کام آئے وہ آدمی آدمی نہیں ہے

کسی کے جلووں کا عکس رنگیں کبھی ہے دل میں کبھی نہیں ہے

میں کس طرح مان لوں کہ ذوق یقیں کی تجھ میں کمی نہیں ہے

پھر اور کیا ہے اگر زوال خودی و خود آگہی نہیں ہے

دل و نظر کو یہ کیا ہوا ہے کہیں بھی آسودگی نہیں ہے

زباں پہ رندان کم نظر کی شکایت ساقی ازل ہے

طلب سوا ہو جو ظرف دل سے ہوس ہے وہ تشنگی نہیں ہے

جو قلب کو زندگی نہ بخشے نظر کو کیف و خودی نہ بخشے

وہ ذوق سجدہ ہے ننگ سجدہ عبادت و بندگی نہیں ہے

حقیقتوں سے گریز انساں کا ایک احساس کمتری ہے

حیات بخشے جو ظلمتوں کو وہ روشنی روشنی نہیں ہے

مرا تصور ہے کائناتی شعور میرا جمالیاتی

مرے خیال و نظر میں ذوقیؔ کوئی بشر اجنبی نہیں ہے

محمد ایوب ذوقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nigah-e-fitrat Mein Dar-haqiqat Wo Zindagi Zindagi Nahin Hai

Muhammad Ayyub Zauqi

nigah-e-fitrat mein dar-haqiqat wo zindagi zindagi nahin hai
jo dusron ke na kaam aae wo aadmi aadmi nahin hai

kisi ke jalwon ka aks-e-rangin kabhi hai dil mein kabhi nahin hai
main kis tarah man lun ki zauq-e-yaqin ki tujh mein kami nahin hai

phir aur kya hai agar zawal-e-KHudi-o-KHud-agahi nahin hai
dil-o-nazar ko ye kya hua hai kahin bhi aasudgi nahin hai

zaban pe rindan-e-kam-nazar ki shikayat-e-saqi-e-azal hai
talab siwa ho jo zarf dil se hawas hai wo tishnagi nahin hai

jo qalb ko zindagi na baKHshe nazar ko kaif-o-KHudi na baKHshe
wo zauq-e-sajda hai nang-e-sajda ibaadat-o-bandagi nahin hai

haqiqaton se gurez insan ka ek ehsas-e-kamtari hai
hayat baKHshe jo zulmaton ko wo raushni raushni nahin hai

mera tasawwur hai kaenati shuur mera jamaliyati
mere KHayal-o-nazar mein 'zauqi' koi bashar ajnabi nahin hai

(606) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nigah-e-fitrat Mein Dar-haqiqat Wo Zindagi Zindagi Nahin Hai written by Muhammad Ayyub Zauqi at UrduPoint. Nigah-e-fitrat Mein Dar-haqiqat Wo Zindagi Zindagi Nahin Hai is one of the masterpieces written by Muhammad Ayyub Zauqi. You can also find the complete poetry collection of Muhammad Ayyub Zauqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muhammad Ayyub Zauqi' above.

Nigah-e-fitrat Mein Dar-haqiqat Wo Zindagi Zindagi Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nigah-e-fitrat Mein Dar-haqiqat Wo Zindagi Zindagi Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.