Junun-e-ishq Ki Ye Fitna-samani Nahin Jati, Urdu Ghazal By Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

Junun-e-ishq Ki Ye Fitna-samani Nahin Jati is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mumtaz Ahmad Khan Khushtar. Junun-e-ishq Ki Ye Fitna-samani Nahin Jati comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Junun-e-ishq Ki Ye Fitna-samani Nahin Jati on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جنون عشق کی یہ فتنہ سامانی نہیں جاتی

ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

جنون عشق کی یہ فتنہ سامانی نہیں جاتی

نہیں جاتی ہماری چاک دامانی نہیں جاتی

مصیبت یوں کبھی دنیا میں پہچانی نہیں جاتی

نہیں آتی بلا جو سر پہ وہ مانی نہیں جاتی

گمان بد نہ کر اے محتسب رندوں کی حالت پر

کہ ہو کر چاک دامن پاک دامانی نہیں جاتی

نہیں مرتا کبھی گو بوالہوس ہر اک پہ مرتا ہے

نہیں جاتی سبک سر کی گراں جانی نہیں جاتی

زیادہ دور ساحل تو نہیں کچھ بحر ہستی کا

مگر کشتی کدھر جائے کہ طغیانی نہیں جاتی

ہمارے گھر کی ویرانی سے ہے دل بستگی اس کو

تم آ کر جب چلے جاتے ہو ویرانی نہیں جاتی

تماشا دیکھنے والے تو لاکھوں آتے جاتے ہیں

وہی جلوے ہیں جلووں کی فراوانی نہیں جاتی

تری تصویر آئینہ ہے میری چشم حیرت کا

نہیں جاتی ان آئینوں کی حیرانی نہیں جاتی

ابھی نظروں میں پھرتا ہے وہ بزم ناز کا منظر

مرے دل سے ترے جلووں کی ارزانی نہیں جاتی

حجابات جہاں سے ہر ادا چھن چھن کی آتی ہے

غرض پردے سے ان کی جلوہ سامانی نہیں جاتی

مجھے سمجھا رہے ہیں آپ کیا اے ناصح مشفق

محبت میں کسی کی بات ہی مانی نہیں جاتی

رہے گا شاعری کا نام خوشترؔ رہتی دنیا تک

سخن جوئی سخن گوئی سخن دانی نہیں جاتی

ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Junun-e-ishq Ki Ye Fitna-samani Nahin Jati

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

junun-e-ishq ki ye fitna-samani nahin jati
nahin jati hamari chaak-damani nahin jati

musibat yun kabhi duniya mein pahchani nahin jati
nahin aati bala jo sar pe wo mani nahin jati

guman-e-bad na kar ai mohtasib rindon ki haalat par
ki ho kar chaak-daman pak-damani nahin jati

nahin marta kabhi go bul-hawas har ek pe marta hai
nahin jati subuk-sar ki giran-jaani nahin jati

zyaada dur sahil to nahin kuchh bahr-e-hasti ka
magar kashti kidhar jae ki tughyani nahin jati

hamare ghar ki virani se hai dil bastagi us ko
tum aa kar jab chale jate ho virani nahin jati

tamasha dekhne wale to lakhon aate jate hain
wahi jalwe hain jalwon ki farawani nahin jati

teri taswir aaina hai meri chashm-e-hairat ka
nahin jati in aainon ki hairani nahin jati

abhi nazron mein phirta hai wo bazm-e-naz ka manzar
mere dil se tere jalwon ki arzani nahin jati

hijabaat-e-jahan se har ada chhan chhan ki aati hai
gharaz parde se un ki jalwa-samani nahin jati

mujhe samjha rahe hain aap kya ai naseh-e-mushfiq
mohabbat mein kisi ki baat hi mani nahin jati

rahega shairi ka nam 'KHushtar' rahti duniya tak
suKHan-jui suKHan-goi suKHan-dani nahin jati

(666) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Poetry

غم و کرب و الم سے دور اپنی زندگی کیوں ہو

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Gham-o-karb-o-alam Se Dur Apni Zindagi Kyun Ho

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

دل ناصبور کو پھر وہی بت بے وفا کی تلاش ہے

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Dil-e-na-subur Ko Phir Wahi But-e-bewafa Ki Talash Hai

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

غم نہ اپنا نہ اب خوشی اپنی

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Gham Na Apna Na Ab Khushi Apni

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

مسرت کا ہمیشہ ایک ہی عالم نہیں ہوتا

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Masarrat Ka Hamesha Ek Hi Aalam Nahin Hota

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

نذر توبہ ہم کریں گے مے پرستی ایک دن

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Nazr-e-tauba Hum Karenge Mai-parasti Ek Din

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

کہاں رہ جائے تھک کر رہ نورد غم خدا جانے (ردیف .. ک)

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Kahan Rah Jae Thak Kar Rah-naward-e-gham Khuda Jaane

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

جنون عشق کی یہ فتنہ سامانی نہیں جاتی

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Junun-e-ishq Ki Ye Fitna-samani Nahin Jati

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

جب سے فریب زیست میں آنے لگا ہوں میں

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Jab Se Fareb-e-zist Mein Aane Laga Hun Main

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

You can read Junun-e-ishq Ki Ye Fitna-samani Nahin Jati written by Mumtaz Ahmad Khan Khushtar at UrduPoint. Junun-e-ishq Ki Ye Fitna-samani Nahin Jati is one of the masterpieces written by Mumtaz Ahmad Khan Khushtar. You can also find the complete poetry collection of Mumtaz Ahmad Khan Khushtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mumtaz Ahmad Khan Khushtar' above.

Junun-e-ishq Ki Ye Fitna-samani Nahin Jati is a widely read Urdu Ghazal. If you like Junun-e-ishq Ki Ye Fitna-samani Nahin Jati, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.