Na Wo Masarrat Gunah Mein Hai Na Wo Kashish Ab Sawab Mein Hai, Urdu Ghazal By Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

Na Wo Masarrat Gunah Mein Hai Na Wo Kashish Ab Sawab Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mumtaz Ahmad Khan Khushtar. Na Wo Masarrat Gunah Mein Hai Na Wo Kashish Ab Sawab Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Wo Masarrat Gunah Mein Hai Na Wo Kashish Ab Sawab Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نا وہ مسرت گناہ میں ہے نہ وہ کشش اب ثواب میں ہے

ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

نا وہ مسرت گناہ میں ہے نہ وہ کشش اب ثواب میں ہے

خراب سامان زندگی سب جہاں کی بزم خراب میں ہے

حسین بے شک ہے بزم انجم قمر بھی ہاں کچھ حساب میں ہے

مگر یہاں تو ہی تو ہے یکتا سوال تیرے جواب میں ہے

یہاں ہے بیکار اس کی حسرت یہاں کی وہ چیز ہی نہیں ہے

کرے وہ راحت کی جستجو کیوں جو اس جہان خراب میں ہے

پڑی ہے بے باک جس پہ اس کو پلا دیا ایک جام مستی

بلا کی مستی بھری ہوئی اس نگاہ مست شباب میں ہے

بدل گئی ہے نگاہ ساقی تو رنگ محفل بدل گیا ہے

نہ اب وہ پہلی سی مے کشی ہے نہ وہ مزا اب شراب میں ہے

سنا تھا ہم نے کہ حشر میں وہ دکھانے والے ہیں اپنا جلوہ

مگر جو دیکھا تو آج بھی وہ جمال رنگیں نقاب میں ہے

دکھا رہا ہے اچھل اچھل کر یہ سب کو جوش نمود غافل

کہ گویا دریائے بے کراں اک نہاں جہان حباب میں ہے

کہاں وہ نغموں میں سوز مطرب کہاں وہ عیش و طرب کی دنیا

کہاں وہ پہلا سا کیف باقی صدائے چنگ و رباب میں ہے

ہزاروں رنگینیاں بھی دیکھیں ہزار جلوے بھی ہم نے دیکھے

مگر جو پھر غور کر کے دیکھا تو حسن مطلق حجاب میں ہے

جہاں کے سب رنج و غم مٹا دے مرے مقدر کو پھر جگا دے

الٰہی خوشترؔ کی التجا یہ مدام تیری جناب میں ہے

ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Wo Masarrat Gunah Mein Hai Na Wo Kashish Ab Sawab Mein Hai

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

na wo masarrat gunah mein hai na wo kashish ab sawab mein hai
KHarab-e-saman-e-zindagi sab jahan ki bazm-e-KHarab mein hai

hasin be-shak hai bazm-e-anjum qamar bhi han kuchh hisab mein hai
magar yahan tu hi tu hai yakta sawal tere jawab mein hai

yahan hai bekar us ki hasrat yahan ki wo chiz hi nahin hai
kare wo rahat ki justuju kyun jo is jahan-e-KHarab mein hai

paDi hai bebak jis pe us ko pila diya ek jam-e-masti
bala ki masti bhari hui us nigah-e-mast-e-shabab mein hai

badal gai hai nigah-e-saqi to rang-e-mahfil badal gaya hai
na ab wo pahli si mai-kashi hai na wo maza ab sharab mein hai

suna tha hum ne ki hashr mein wo dikhane wale hain apna jalwa
magar jo dekha to aaj bhi wo jamal-e-rangin naqab mein hai

dikha raha hai uchhal uchhal kar ye sab ko josh-e-numud-e-ghafil
ki goya dariya-e-be-karan ek nihan jahan-e-habab mein hai

kahan wo naghmon mein soz-e-mutrib kahan wo aish-o-tarab ki duniya
kahan wo pahla sa kaif baqi sada-e-chang-o-rabab mein hai

hazaron ranginiyan bhi dekhin hazar jalwe bhi hum ne dekhe
magar jo phir ghaur kar ke dekha to husn-e-mutlaq hijab mein hai

jahan ke sab ranj-o-gham miTa de mere muqaddar ko phir jaga de
ilahi 'KHushtar' ki iltija ye mudam teri janab mein hai

(664) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Poetry

مری زندگی کا یہ حال تھا یہی شکل راہ روی رہی

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Meri Zindagi Ka Ye Haal Tha Yahi Shakl-e-rah-rawi Rahi

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

کسی کی یاد کو اپنا شعار کر لیں گے

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Kisi Ki Yaad Ko Apna Shiar Kar Lenge

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

تلاش صورت تسکیں نہ کر اوہام ہستی میں (ردیف .. ے)

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Talash-e-surat-e-taskin Na Kar Auham-hasati Mein

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

جب سے فریب زیست میں آنے لگا ہوں میں

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Jab Se Fareb-e-zist Mein Aane Laga Hun Main

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

جس نے جی بھر کے تجلی کو کبھی دیکھا ہو (ردیف .. ے)

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Jis Ne Ji Bhar Ke Tajalli Ko Kabhi Dekha Ho

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

غم نہ اپنا نہ اب خوشی اپنی

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Gham Na Apna Na Ab Khushi Apni

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

اسی کو ہم سمجھ لیتے ہیں اپنا سادگی دیکھو (ردیف .. ے)

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Usi Ko Hum Samajh Lete Hain Apna Sadgi Dekho

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

مسرت کا ہمیشہ ایک ہی عالم نہیں ہوتا

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Masarrat Ka Hamesha Ek Hi Aalam Nahin Hota

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

You can read Na Wo Masarrat Gunah Mein Hai Na Wo Kashish Ab Sawab Mein Hai written by Mumtaz Ahmad Khan Khushtar at UrduPoint. Na Wo Masarrat Gunah Mein Hai Na Wo Kashish Ab Sawab Mein Hai is one of the masterpieces written by Mumtaz Ahmad Khan Khushtar. You can also find the complete poetry collection of Mumtaz Ahmad Khan Khushtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mumtaz Ahmad Khan Khushtar' above.

Na Wo Masarrat Gunah Mein Hai Na Wo Kashish Ab Sawab Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Wo Masarrat Gunah Mein Hai Na Wo Kashish Ab Sawab Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.