Meri Zindagi Ka Ye Haal Tha Yahi Shakl-e-rah-rawi Rahi, Urdu Ghazal By Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

Meri Zindagi Ka Ye Haal Tha Yahi Shakl-e-rah-rawi Rahi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mumtaz Ahmad Khan Khushtar. Meri Zindagi Ka Ye Haal Tha Yahi Shakl-e-rah-rawi Rahi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Meri Zindagi Ka Ye Haal Tha Yahi Shakl-e-rah-rawi Rahi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مری زندگی کا یہ حال تھا یہی شکل راہ روی رہی

ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

مری زندگی کا یہ حال تھا یہی شکل راہ روی رہی

کہ نہ غم کا غم ہی رہا کبھی نہ خوشی کی مجھ کو خوشی رہی

نہ وہ پردہ دار ہے راز میں نہ کسی کی پردہ داری رہی

جو پڑے تھے پردے سب اٹھ گئے مگر اب بھی جلوہ گری رہی

شب ہجر گزری ہے کس طرح تمہیں کیا سناؤں یہ ماجرا

میں اجل کے سائے میں تھا کھڑا مری سر پہ موت کھڑی رہی

تری یاد میں بہت حیلہ جو یوں ہی گزرے شام و سحر مرے

کبھی دن میں آہ سے کام تھا کبھی شب میں نوحہ گری رہی

نہ کسی کے دشمن جاں ہوئے نہ کسی کو دشمن جاں کیا

یہی بات تھی کہ جو غیر سے بھی ہمیشہ اپنی بنی رہی

مری حسرتیں مرے حوصلے سب ہی جل کے خاک میں مل گئے

یہ کسی کی دی ہوئی آگ تھی جو لگی تو دل میں لگی رہی

وہ گھٹا کا زور کہاں گیا شب ماہ کیا ہوئی ساقیا

کہ نہ لطف بزم سرور ہے نہ بہار بادہ کشی رہی

یہ نوازشیں تری باغباں کہ کہیں کا میں نہیں رہ گیا

نہ وہ رنج دور خزاں رہا نہ وہ فصل گل کی خوشی رہی

مری بے کسی سے جہان میں نہ ہوا بھی کچھ تو بہت ہوا

وہی بے بسی تو رہی مگر تری یاد دل میں بسی رہی

یہ سوال کیوں یہ خیال کیا ہے وفا تو اس کا مآل کیا

یہی ذکر ورد زباں رہا یہی فکر دل کو لگی رہی

نہ مجھی کو اپنا پتہ ملا نہ تجھی کو ڈھونڈھ کے پا سکا

نہ مری خبر نہ تری خبر عجیب ایک بے خبری رہی

یہ مقام شکر ہے بے گماں رہا خوش ہی خوشترؔ خوش بیاں

نہ عطا وجود میں تھی کسر نہ کرم کی اس کے کمی رہی

ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Zindagi Ka Ye Haal Tha Yahi Shakl-e-rah-rawi Rahi

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

meri zindagi ka ye haal tha yahi shakl-e-rah-rawi rahi
ki na gham ka gham hi raha kabhi na KHushi ki mujh ko KHushi rahi

na wo parda-dar hai raaz mein na kisi ki parda-dari rahi
jo paDe the parde sab uTh gae magar ab bhi jalwagari rahi

shab-e-hijr guzri hai kis tarah tumhein kya sunaun ye majra
main ajal ke sae mein tha khaDa meri sar pe maut khaDi rahi

teri yaad mein bahut hila-ju yunhi guzre sham-o-sahar mere
kabhi din mein aah se kaam tha kabhi shab mein nauhagari rahi

na kisi ke dushman-e-jaan hue na kisi ko dushman-e-jaan kiya
yahi baat thi ki jo ghair se bhi hamesha apni bani rahi

meri hasraten mere hausle sab hi jal ke KHak mein mil gae
ye kisi ki di hui aag thi jo lagi to dil mein lagi rahi

wo ghaTa ka zor kahan gaya shab-e-mah kya hui saqiya
ki na lutf-e-bazm-e-surur hai na bahaar-e-baada-kashi rahi

ye nawazishen teri baghban ki kahin ka main nahin rah gaya
na wo ranj-e-daur-e-KHizan raha na wo fasl-e-gul ki KHushi rahi

meri be-kasi se jahan mein na hua bhi kuchh to bahut hua
wahi bebasi to rahi magar teri yaad dil mein basi rahi

ye sawal kyun ye KHayal kya hai wafa to is ka maal kya
yahi zikr wird-e-zaban raha yahi fikr dil ko lagi rahi

na mujhi ko apna pata mila na tujhi ko DhunDh ke pa saka
na meri KHabar na teri KHabar ajib ek be-KHabari rahi

ye maqam-e-shukr hai be-guman raha KHush hi 'KHushtar'-e-KHush-bayan
na ata wajud mein thi kasar na karam ki us ke kami rahi

(562) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Poetry

جب سے فریب زیست میں آنے لگا ہوں میں

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Jab Se Fareb-e-zist Mein Aane Laga Hun Main

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

جس نے جی بھر کے تجلی کو کبھی دیکھا ہو (ردیف .. ے)

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Jis Ne Ji Bhar Ke Tajalli Ko Kabhi Dekha Ho

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

مری زندگی کا یہ حال تھا یہی شکل راہ روی رہی

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Meri Zindagi Ka Ye Haal Tha Yahi Shakl-e-rah-rawi Rahi

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

کسی کی یاد کو اپنا شعار کر لیں گے

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Kisi Ki Yaad Ko Apna Shiar Kar Lenge

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

جنون عشق کی یہ فتنہ سامانی نہیں جاتی

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Junun-e-ishq Ki Ye Fitna-samani Nahin Jati

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

مسرت کا ہمیشہ ایک ہی عالم نہیں ہوتا

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Masarrat Ka Hamesha Ek Hi Aalam Nahin Hota

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

کہاں رہ جائے تھک کر رہ نورد غم خدا جانے (ردیف .. ک)

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Kahan Rah Jae Thak Kar Rah-naward-e-gham Khuda Jaane

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

دل ناصبور کو پھر وہی بت بے وفا کی تلاش ہے

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar - ممتاز احمد خاں خوشتر کھنڈوی

Dil-e-na-subur Ko Phir Wahi But-e-bewafa Ki Talash Hai

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar Urdu Poetry

You can read Meri Zindagi Ka Ye Haal Tha Yahi Shakl-e-rah-rawi Rahi written by Mumtaz Ahmad Khan Khushtar at UrduPoint. Meri Zindagi Ka Ye Haal Tha Yahi Shakl-e-rah-rawi Rahi is one of the masterpieces written by Mumtaz Ahmad Khan Khushtar. You can also find the complete poetry collection of Mumtaz Ahmad Khan Khushtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mumtaz Ahmad Khan Khushtar' above.

Meri Zindagi Ka Ye Haal Tha Yahi Shakl-e-rah-rawi Rahi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri Zindagi Ka Ye Haal Tha Yahi Shakl-e-rah-rawi Rahi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.