Kash Aisa Ho Wo Milne Ke Bahane Aae, Urdu Ghazal By Munawwar Jahan Munawwar
Kash Aisa Ho Wo Milne Ke Bahane Aae is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munawwar Jahan Munawwar. Kash Aisa Ho Wo Milne Ke Bahane Aae comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kash Aisa Ho Wo Milne Ke Bahane Aae on this page of UrduPoint.
کاش ایسا ہو وہ ملنے کے بہانے آئے
منور جہاں منور
کاش ایسا ہو وہ ملنے کے بہانے آئے
کچھ سنے میری تو کچھ اپنی سنانے آئے
اس کو دیکھے ہوئے اک عرصہ ہوا ہے مجھ کو
آئے وہ پیاس ہی آنکھوں کی بجھانے آئے
دیکھنا چاہوں گی جی بھر کے اسے کہہ دو ذرا
اس سے کہہ دو کہ مجھے صرف ستانے آئے
روٹھ سکتی ہوں کہاں اس سے محبت ہے مجھے
اور اگر روٹھ گئی مجھ کو منانے آئے
میرا دیوانہ تھا وہ اس کا یہی تھا دعویٰ
اس کی دیوانگی کیسی ہے بتانے آئے
میں نے کاٹی ہیں بہت ہجر میں اس کی راتیں
اس نے بھی کاٹی ہیں گر راتیں سنانے آئے
کون قسمت سے منورؔ کبھی لڑ سکتا ہے
آئے وہ دیکھے مری ہار رلانے آئے
منور جہاں منور
© UrduPoint.com
All Rights Reserved
Kash Aisa Ho Wo Milne Ke Bahane Aae
Munawwar Jahan Munawwar
kuchh sune meri to kuchh apni sunane aae
us ko dekhe hue ek arsa hua hai mujh ko
aae wo pyas hi aankhon ki bujhane aae
dekhna chahungi ji bhar ke use kah do zara
us se kah do ki mujhe sirf satane aae
ruTh sakti hun kahan us se mohabbat hai mujhe
aur agar ruTh gai mujh ko manane aae
mera diwana tha wo us ka yahi tha dawa
us ki diwangi kaisi hai batane aae
main ne kaTi hain bahut hijr mein us ki raaten
us ne bhi kaTi hain gar raaten sunane aae
kaun qismat se 'munawar' kabhi laD sakta hai
aae wo dekhe meri haar rulane aae
(610) ووٹ وصول ہوئے
Related Munawwar Jahan Munawwar Poetry
More Munawwar Jahan Munawwar Poetry
ہوگا کم اپنا فاصلہ یوں ہی
Munawwar Jahan Munawwar - منور جہاں منور
Hoga Kam Apna Fasla Yunhi

کہیں بھی جاؤ مگر دل کے آس پاس رہو
Munawwar Jahan Munawwar - منور جہاں منور
Kahin Bhi Jao Magar Dil Ke Aas-pas Raho

اب خواہش تلافئ مافات بھی گئی
Munawwar Jahan Munawwar - منور جہاں منور
Ab Khwahish-e-talafi-e-mafat Bhi Gai

کاش ایسا ہو وہ ملنے کے بہانے آئے
Munawwar Jahan Munawwar - منور جہاں منور
Kash Aisa Ho Wo Milne Ke Bahane Aae

دل کے کاغذ پر لکھا ہے تیرا نام
Munawwar Jahan Munawwar - منور جہاں منور
Dil Ke Kaghaz Par Likha Hai Tera Nam

ان سے ملی نگاہ تو موسم بدل گیا
Munawwar Jahan Munawwar - منور جہاں منور
Un Se Mili Nigah To Mausam Badal Gaya

ذرا سا رنگ ہی بھر دو مرے دل کے فسانے میں
Munawwar Jahan Munawwar - منور جہاں منور
Zara Sa Rang Hi Bhar Do Mere Dil Ke Fasane Mein

سوچا ہے اس کو جب بھی تو یہ من سنور گیا
Munawwar Jahan Munawwar - منور جہاں منور
Socha Hai Usko Jab Bhi To Ye Man Sanwar Gaya

You can read Kash Aisa Ho Wo Milne Ke Bahane Aae written by Munawwar Jahan Munawwar at UrduPoint. Kash Aisa Ho Wo Milne Ke Bahane Aae is one of the masterpieces written by Munawwar Jahan Munawwar. You can also find the complete poetry collection of Munawwar Jahan Munawwar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munawwar Jahan Munawwar' above.
Kash Aisa Ho Wo Milne Ke Bahane Aae is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kash Aisa Ho Wo Milne Ke Bahane Aae, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.
You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.