Adab Se Shikwa-e-gham Ho Raha Hai, Urdu Ghazal By Muneer Bhopali

Adab Se Shikwa-e-gham Ho Raha Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Bhopali. Adab Se Shikwa-e-gham Ho Raha Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Adab Se Shikwa-e-gham Ho Raha Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ادب سے شکوۂ غم ہو رہا ہے

منیر بھوپالی

ادب سے شکوۂ غم ہو رہا ہے

زباں خاموش ہے دل رو رہا ہے

جگر بیتاب ہے دل رو رہا ہے

تمناؤں کا ماتم ہو رہا ہے

زمانہ لاکھ دے چھینٹے پہ چھینٹے

میں کیا جاگوں مقدر سو رہا ہے

سمجھتا ہے وہ جنت کی حقیقت

تری محفل میں دم بھر جو رہا ہے

جبیں اپنی کسی کا آستاں ہے

مقدر اب مقدر ہو رہا ہے

دل نا فہم یہ آنسو نہیں ہیں

بڑے نایاب موتی کھو رہا ہے

محبت ریز فطرت بن رہی ہے

قیامت خیز عالم ہو رہا ہے

نیا انداز ہے عذر ستم کا

مجھی سے میرا شکوہ ہو رہا ہے

شب غم اور سکون قلب مضطر

مجھے کچھ اور ہی شک ہو رہا ہے

یہاں تک راز دل ہم نے چھپایا

زمانہ میں فسانہ ہو رہا ہے

الٰہی شان ستاری کا صدقہ

شمار معصیت کیوں ہو رہا ہے

انہی آنکھوں میں جنت بس رہی ہے

انہی آنکھوں میں محشر سو رہا ہے

دبے پاؤں گزر جائے قیامت

کوئی برسوں کا جاگا سو رہا ہے

یہ درد دل منیرؔ ان کا کرم ہے

مقام شکر ہے تو رو رہا ہے

منیر بھوپالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Adab Se Shikwa-e-gham Ho Raha Hai

Muneer Bhopali

adab se shikwa-e-gham ho raha hai
zaban KHamosh hai dil ro raha hai

jigar betab hai dil ro raha hai
tamannaon ka matam ho raha hai

zamana lakh de chhinTe pe chhinTe
main kya jagun muqaddar so raha hai

samajhta hai wo jannat ki haqiqat
teri mahfil mein dam-bhar jo raha hai

jabin apni kisi ka aastan hai
muqaddar ab muqaddar ho raha hai

dil-e-na-fahm ye aansu nahin hain
baDe nayab moti kho raha hai

mohabbat-rez fitrat ban rahi hai
qayamat-KHez aalam ho raha hai

naya andaz hai uzr-e-sitam ka
mujhi se mera shikwa ho raha hai

shab-e-gham aur sukun-e-qalb-e-muztar
mujhe kuchh aur hi shak ho raha hai

yahan tak raaz-e-dil hum ne chhupaya
zamane mein fasana ho raha hai

ilahi shan-e-sattari ka sadqa
shumar-e-masiyat kyon ho raha hai

inhi aankhon mein jannat bas rahi hai
inhi aankhon mein mahshar so raha hai

dabe panw guzar jae qayamat
koi barson ka jaga so raha hai

ye dard-e-dil 'munir' un ka karam hai
maqam-e-shukr hai tu ro raha hai

(401) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Adab Se Shikwa-e-gham Ho Raha Hai written by Muneer Bhopali at UrduPoint. Adab Se Shikwa-e-gham Ho Raha Hai is one of the masterpieces written by Muneer Bhopali. You can also find the complete poetry collection of Muneer Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Bhopali' above.

Adab Se Shikwa-e-gham Ho Raha Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Adab Se Shikwa-e-gham Ho Raha Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.